Ishq Karo To Ye Bhi Socho Arz-e-Sawal Se Pehle; Hijr Kee Poori Raat Aati Hai Subah-e-Visaal Se Pehle; Dil Ka Kya Hai Dil Ne Kitne Manzar Dekhe Lekin; Aankhein Pagal Ho Jati Hain Ek Khyaal Se Pehle; Kis Ne Ret Udaai Shab Mein Aankhein Khol Ke Rakhi; Koi Misaal To Hona Us Kee Misaal Se Pehle; Kaar-e-Mohabbat Ek Safar Hai Is Mein Aa Jata Hai; Ek Zavaal-Aasaar Sa Rasta Baab-e-Kamaal Se Pehle; Ishq Mein Resham Jaise Vaadon Aur Khwabon Ka Rastaa; Jitna Mumkin Ho Tay Kar Le Gard-e-Malal Se Pehle! |
Kabhi Yeh Chup Mein Kabhi Meri Baat Baat Mein Tha; Tumhara Akss Meri Saari Qayenaat Mein Tha; Hum Ehl-e-Ishq Bahut Bad-Guhmaan Hote Hain; Isi Tarah Ka Koi Vasf Teri Jaat Mein Tha! |
Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri; Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai! |
Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski; Padi Hui Thi Mujhe Kitni Aadatein Uski; Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata; Mujhe To Raah Dikhaati Thi Chahatein Uski! |
Yahi Nahi Koi Toofaan Meri Talaash Mein Hai; Ki Mausam-e-Gham-e-Janaa Meri Talaash Mein Hai; Visaal-Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai; Sitara-e-Shab-e-Hijra Meri Talaash Mein Hai; Main Faisale Kee Ghadi Se Guzar Chuki Hun Magar; Kisi Ka Deedaa-e-Hairan Meri Talaash Mein Hai; Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai; Ki Ek Karya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai; Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun; Mui Charag Saar Unvan Meri Talaash Mein Hai; Ye Kaisa Khwab Tha Dhadka Sa Lag Geya Dil Ko; Ki Ek Shakhs Pareshan Meri Talaash Mein Hai! |
Ab Kis Se Kahen Ab Kis Se Kahen Aur Kaun Sune Jo Haal Tumhare Baad Hua; Iss Dil Kee Jheel See Aankhon Mein Ek Khwab Bahut Barbad Hua; Ye Hijr-Hawa Bhi Dushman Hai Iss Naam Ke Saare Rangon Kee; Wo Naam Jo Mere Honthon Pe Khushbu Kee Tarah Aabad Hua; Us Shehar Mein Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye; Ek Shakhs Kitabon Jaisa Tha Wo Shakhs Zubani Yaad Hua; Wo Apne Ganv Kee Galiyan Thi Dil Jin Mein Nachta Gata Tha; Ab Iss Se Fark Nahi Padta Nashaad Hua Ya Shaad Hua; Benaam Sataish Rehti Thi In Gehri Sanwali Aankhon Mein; Aisa To Kabhi Socha Bhi Na Tha Ab Jitna Bedad Hua! |
Tujh Se Ab Aur Mohabbat Nahi Kee Ja Sakti; Khud Ko Itni Bhi Aziyat Nahi Di Ja Sakti; Jante Hain Ki Yakeen Toot Raha Hai Dil Par; Phir Bhi Ab Tark Ye Vehshat Nahi Kee Ja Sakti! Meaning: Aziyat = Trouble |
Ye Dil Bhulata Nahi Hai Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski; Padi Hui Thee Mujhe Kitni Aadatein Uski; Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata; Mujhe To Raah Dikhaati Thee Chahatein Uski; Ghiri Hui Hun Main Chehron Ki Bheed Mein Lekin; Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski; Main Dard Se Rone Lagi Hun To Aisa Lagta Hai; Ki Chhaon Jaisi Thee Mujh Par Rafaqatein Uski; Ye Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye; Kahan Pe Reh Gayi Logon Sadaqatein Uski; Main Barishon Mein Juda Ho Gayi Hun Us Se Magar; Ye Mera Dil, Meri Sansein Amanatein Uski! |
Ye Dil Bhulata Nahi Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski; Padi Hui Thee Mujhe Kitni Aadatein Uski; Yeh Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata; Mujhe To Raah Dikhaati Thee Chahatein Uski; Ghiri Hui Hun Mein Chehron Kee Bheed Mein Lekin; Kahin Nazar Nahi Aati Shabahatein Uski; Main Dard Se Rone Lagi Hun To Aisa Lagta Hai; Ki Chhaon Jaisi Thee Mujh Par Rafaqatein Uski; Yeh Kis Gali Mein Ye Kis Shehar Mein Nikal Aaye; Kahan Pe Reh Gayi Logo Sadaqatein Uski; Main Barishon Mein Juda Ho Gayi Hun Us Se Magar; Yeh Mera Dil, Meri Sansein Amanatein Uski! |
Meri Aankhon Ko Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi; Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi; Wo Bhare Sheher Mein Kisi Se Bhi; Mere Baare Mein Poochta Hee Nahi; Phir Wohi Shaam Hai Wohi Hum Hain; Haan Magar Dil Mein Haunsla Hee Nahi; Hum Chale Uss Kee Bazm Se Uth Kar; Aur Woh Hai Ki Rokta Hee Nahi; Dil Jo Ek Dost Tha Magar Woh Bhi; Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi; Main To Uss Kee Talaash Mein Gum Hun; Woh Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi! |