Tumne To Keh Diya Tumne To Keh Diya Ki Mohabbat Nahi Mili; Mujhko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili; Neendo Ke Des Jaate, Koi Khawab Dekhte; Lekin Diya Jalane Se Fusat Nahi Mili; Tujhko To Khair Shahar Ke Logo Ka Khauf Tha; Aur Mujhko Apne Ghar Se Ijajat Nahi Mili; Phir Ikhtilaf-e-Rai Ki Surat Nikal Padi; Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili; Be-zar Yun Hue Ki Tere Ahad Mein Humein; Sab Kuch Mila, Sukun Kee Daulat Nahi Mili! |
Mohabbat Se Rihaa Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri; Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Meri Awaaz Tanhaai Mein Marti Ja Rahi Hai; Kisi Ka Hamnawaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Azaab Zulmat-e-Shab Hai Ki Ab Dil Ke Labon Par; Koi Harf-e-Duaa Hona Zaroori Ho Geya Hai! |
Kabhi Yeh Chup Mein Kabhi Meri Baat Baat Mein Tha; Tumhara Akss Meri Saari Qayenaat Mein Tha; Hum Ehl-e-Ishq Bahut Bad-Guhmaan Hote Hain; Isi Tarah Ka Koi Vasf Teri Jaat Mein Tha! Translation: Vasf = Ability |
Yehi Nahi Ki Toofan Meri Yehi Nahi Ki Toofan Meri Talaash Mein Hai; Ki Mausam-e-Gham-e-Jaanan Meri Talaash Mein Hai; Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai; Sitaarah-e-Shab-e-Hijraan Meri Talaash Mein Hai; Main Faislay Kee Ghari Se Guzar Chali Hun; Kisi Kee Deeda-e-Hairaan Meri Talaash Mein Hai; Ye Be Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai; Ki Ik Qirya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai; Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ik Kahani Hun; Koi Chiraagh Sa Unwaan Meri Talaash Mein Hai; Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko; Ki Ik Shaks Pareshaan Meri Talaash Mein Hai! |
Meri Aankhon Ko Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi; Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi; Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi; Mere Baare Mein Poochta Hee Nahi; Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain; Haan Magar Dil Mein Haunsla Hee Nahi; Ham Chale Us Ki Bazm Se Uth Kar; Aur Wo Hai Ki Rokta Hee Nahi; Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi; Chup Ke Pathar Hai Bolta Hee Nahi; Main To Us Ki Talaash Mein Guum Hun; Wo Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi |
Aalim-e-Mohabbat Aalim-e-Mohabbat Mein; Ik Kamaal Wehshat Mein; Be-Sabab Rafaaqat Ka; Dukh Uthaana Padta Hai; Titliyaan Pakadney Ko; Door Jana Padta Hai! |
Bahut Aaraam Karna Bahut Aaraam Karna Chahti Hun; Yahi Ek Kaam Karna Chahti Hun; Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai; Ise Neelaam Karna Chahti Hun; Main Apni Umar Ke Saaray; Asaasay Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun; Tumharay Khaim-e-Khushbuu Mein Reh Kar; Main Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun; Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai; Ise Naakaam Karna Chahti Hun! |
Zamane Walon Se Chup Zamane Walon Se Chup Ke Rone Ke Din Nahin Hain; Usey Kehna Yeh Udaas Hone Ke Din Nahin Hain; Main Jaan Sakti Hoon Vasl Mein Asal Bhaid Kya Hai; Magar Haqeeqat Shanaas Hone Ke Din Nahin Hain; Hamara Khud Se Makaalma Bhi Naya Naya Hai; Kisi Badamn Ka Libaas Hone Ke Din Nahin Hain; Abhi To Aankhon Mein Aansuyon Ki Nami Hai Baqi; Zameen-e-Dil Par Pyaas Bone Ke Din Nahin Hain! Translation: Makaalma = Conversation |
Khauf Ki Shab Khauf Ki Shab Mein Honth Seenay Se; Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se; Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam; Dekhna Hai Ose Qareenay Se; Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha; Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se; Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi; Warna Kia Khauf Os Safeenay Se; Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai; Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se! |
Yeh Hum Hi Jantey Hain Judaai Ke Mod Par; Iss Dil Ka Jo Bhi Haal Tujhe Dekh Kar Hua! |