Khwaja Mir Dard Shayari

  • Arz-o-Sama Kahan Tiri Vusat Ko Paa Sake,<br/>
Mera Hi Dil Hai Woh Ki Jahan Tu Sama Sake!Upload to Facebook
    Arz-o-Sama Kahan Tiri Vusat Ko Paa Sake,
    Mera Hi Dil Hai Woh Ki Jahan Tu Sama Sake!
    ~ Khwaja Mir Dard
  • Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi;
    Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi!
    ~ Khwaja Mir Dard
  • Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale;
    Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale;
    Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Ki Yun;
    Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale!
    ~ Khwaja Mir Dard
  • Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi;
    Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi!
    ~ Khwaja Mir Dard
  • Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan,<br/>

Zindagi Gar Kuch Rahi To Yeh Jawani Phir Kahan!Upload to Facebook
    Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan,
    Zindagi Gar Kuch Rahi To Yeh Jawani Phir Kahan!
    ~ Khwaja Mir Dard
  • Chaman Mein Subah Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-e-Tar Shabnam;
    Bahaar-e-Baag To Yun Hi Rahi Lekin Kidhar Shabnam;

    Arq Kee Boond Us Kee Zulf Se Rukhsaar Par Tapki;
    Tazub Kee Hai Jaage Ye Padi Khurshid Par Shabnam;

    Humein To Baag Tujh Bin Khana-e-Matam Nazar Aaya;
    Idhar Gul Phadte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam;

    Kare Hai Kuch Na Kuch Taseer Sohbat Saaf Taabon Kee;
    Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashq-e-Sharar Shabnam;

    Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge;
    Kisi Aashiq Ke Rone Se Nahi Rakhti Khabar Shabnam;

    Na Samjha 'Dard' Humne Bhed Ya Kee Shadi-o-Gham Ka;
    Sehar Khandaan Hai Kyon Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam!
    ~ Khwaja Mir Dard
  • Teri Gali Mein Main Na Chalun

    Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Sabaa Chale;
    Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale;

    Kis Kee Ye Mauj-e-Husn Hui Jalvagaar Ki Yun;
    Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale;

    Hum Bhi Jaras Kee Tarah To Is Qafile Ke Saath;
    Naale Jo Kuch Bisaat Mein The So Suna Chale;

    Keh Baithiyo Na 'Dard' Ki Ahl-e-Wafaa Hun Main;
    Us Bewafa Ke Aage Jo Zikr-e-Wafaa Chale!
    ~ Khwaja Mir Dard
  • Jag Mein Aakar

    Jag Mein Aakar Idhar Udhar Dekha;
    Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha;

    Jaan Se Ho Gaye Badan Khali;
    Jis Taraf Tune Aankh Bhar Dekha;

    Nala, Fariyad, Aah Aur Zaree;
    Aap Se Ho Saka So Kar Dekha;

    Un Labon Ne Kee Na Maseehayi;
    Hum Ne Sau-Sau Tarah Se Mar Dekha;

    Zor Aashiq Mizaaj Hai Koi;
    'Dard' Ko Kissa-e-Mukhtsar Dekha!
    ~ Khwaja Mir Dard
  • Aankhein Bhi Haye Naza Mein Apni Badal Gayi;
    Sach Hai Ki Bekasi Mein Koi Aashna Nahin!
    ~ Khwaja Mir Dard
  • Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi;
    Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi!
    ~ Khwaja Mir Dard
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT