Badla Lena Meri Fitrat: Main Lamhon Ko Waqt Ki Pukaar Deta Hoon, Isi Lagan Mein Kayi Shaamein Guzaar Deta Hoon; Main Yunhi Har Ek Se Be-Rabt Nahi Milta, Har Ek Shakhs Ko Us Ka Mayyaar Deta Hoon; Main Gham Ki Kashti Ko Dubona Nahi Chaahta, Bojh Barrh Jaye To Kuch Utaar Deta Hoon; Khushiyan Koi Maangey To Muft Deta Hoon, Gham Maangey Koi To Udhaar Deta Hoon; Badla Lena Meri Fitrat Mein Nahi 'Saaqi', Khizaan Ke Badley Bahaar Deta Hoon! |
Pani Aankh Mein Bhar Kar: Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai, Ab Bhi Jalta Shehar Bachaya Ja Sakta Hai; Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Nakam Mohabbat, Lekin Iss Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai; Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedein, Iss Chashme Mein Zeher Milaya Ja Sakta Hai; Mujh Gumnaam Se Puchte Hain Farhaad-o-Majnoon, Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai; Yeh Mehtab Yeh Raat Kee Peshani Ka Ghav, Aisa Zakham To Dil Par Khaya Ja Sakta Hai; Phata Purana Khwaab Hai Mera Phir Bhi Tabish, Iss Mein Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai! |
Aadmi Aadmi Se: Aadmi Aadmi Se Milta Hai, Dil Magar Kam Kisi Se Milta Hai; Rooh Ko Bhi Maza Mohabbat Ka, Dil Ki Hum-Saegi Se Milta Hai; Aaj Kya Baat Hai Ki Phulon Ka, Bhool Jata Hun Main Sitam Uske; Hosh Jab Be-Khudi Se Milta Hai, Karobar-e-Jahan Sanwarte Hain; Mil Ke Bhi Jo Kabhi Nahi Milta, Rang Teri Hansi Se Milta Hai; Teri Khush-Qamati Se Milta Hai, Toot Kar Dil Usi Se Milta Hai; Silsila Fitna-e-Qayamat Ka, Woh Kuchh Is Sadgi Se Milta Hai! |
Baat Karni Mushkil: Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi Toh Na Thi, Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aaisi Toh Na Thi; Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar, Be-Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aaisi Toh Na Thi; Teri Aankhon Mein Khudaa Jane Kya-Kya Jaadu, Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aaisi Toh Na Thi; Kya Sbab Tu Jo Bigarta Hai 'Zafar' Se Har Baar, Kho Teri Hoor Shamil Kabhi Aaisi Toh Na Thi! |
Main To Jhonka Hun: Main To Jhonka Hun Hawa Ka Uda Le Jaunga, Jaagti Rehna Tujhe Tujhse Chura Le Jaunga; Ho Ke Kadmon Pe Nicchawar Phool Ne But Se Kaha, Khak Mein Mil Ke Bhi Mein Khushboo Bacha Le Jaunga; Kaun Si Shay Mujhko Pahunchayegi Tere Shehar Tak, Yeh Pata To Tab Chalega Jab Pata Le Jaunga; Koshishein Mujhko Mitaane Ki Bhale Ho Kamyaab, Mit-te Mit-te Bhi Main Mitne Ka Maza Le Jaunga; Shoharatein Jinki Wajah Se Dost Dushman Ho Gaye, Sab Yeh Reh Jaayengi Main Saath Kya Le Jaunga! |
Dil Mein Na Ho Jurrat: Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi Milti, Khairat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti; Kuchh Log Yun Hi Shehar Mein Hum Se Bhi Khafa Hain, Har Ek Se Apni Bhi Tabiyat Nahi Milti; Dekha Tha Jise Maine Koi Aur Tha Shaayad, Woh Kaun Hai Jis Se Teri Surat Nahi Milti; Hanste Hue Chehron Se Hai Baazaar Ki Zinat, Rone Ko Yahan Vaise Bhi Fursat Nahi Milti! |
Yeh Na Thi Hamari Qismat: Yeh Na Thi Hamari Qismat, Ki Visaal-e-Yaar Hota, Agar Aur Jeete Rehte, Yahi Intezaar Hota; Koi Mere Dil Se Puche, Tere Teer-e-Nimkash Ko, Yeh Khalish Kahan Se Hoti, Jo Jigar Ke Paar Hota; Yeh Kahan Ki Dosti Hai, Ki Bane Hain Dost Naaseh, Koi Chhaar-Saaz Hota, Koi Gham Gusaar Hota; Kahu Kis Se Main, Ki Kya Hai Shab-e-Gham Buri Bala Hai, Mujhe Kya Bura Tha Marna, Agar Ek Baar Hota; Yeh Masaail-e-Tasavuff, Yeh Tere Bayaan 'Ghalib', Tujhe Hum Wali Samjhte, Jo Na Badaa-Khaar Hota! |
Wafa Ke Baab Mein: Wafa Ke Baab Mein Ilzaam-e-Aashiqui Na Liya, Ki Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Liya; Khushaa Wo Log Ki Mehroom-e-Iltefaat Rahe, Tere Karam Ko Ba-Andaaz-e-Saadgi Na Liya; Tumhare Baad Kayi Haath Dil Ke Simat Barhe, Hazaar Shukar Girebaan Ko Hum Ne Si Na Liya; Tamaam Masti-o-Tishnaa-Labi Ke Hungame, Kisi Ne Sang Uthaya, Kisi Ne Meena Liya; 'Faraz' Zulm Hai Itni Khud Aitmaadi Bhi; Ki Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Liya! |
Aap Jin Ke Qarib: Aap Jin Ke Qarib Hote Hain, Vo Baḍe Ḳhush-Nasib Hote Hain; Jab Tabiyat Kisi Par Aati Hai, Maut Ke Din Qarib Hote Hain; Mujh Se Milna Phir Aap Ka Milna, Aap Kis Ko Nasib Hote Hain; Zulm Seh Kar Jo Uff Nahi Karte, Un Ke Dil Bhi Ajeeb Hote Hain; Ishq Mein Aur Kuch Nahi Milta, Saikḍon Gham Naseeb Hote Hain; Nunh Ki Kadar Koi Kya Jaane, Kahin Aise Adeeb Hote Hain! |
Parakhna Mat Parakhne Mein: Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahi Rehta, Kisi Bhi Aaine Mein Der Tak Chehra Nahi Rehta; Bade Logon Se Milne Mein Hamesha Faansla Rakhna, Jahan Dariya Samandar Mein Mile Dariya Nahi Rehta; Hazaaron Sher Mere So Gaye Kaghaz Ki Qabron Mein, Ajab Maa Hun Koi Bachha Mera Zinda Nahi Rehta; Tumhara Shehar Toh Bilkul Naye Andaaz Wala Hai, Hamare Shehar Mein Bhi Koi Hum Sa Nahi Rehta; Mohabbat Ek Khushbu Hai Hamesha Saath Chalti Hai, Koi Insaan Tanhayi Mein Bhi Tanha Nahi Rehta; Koi Baadal Hare Mausam Ka Phir Elaan Karta Hai, Khiza Ke Baag Mein Jab Ek Bhi Patta Nahi Rehta! |