Sari Basti Me Ye Jadoo: Sari Basti Mein Ye Jadoo Nazar Aaye Mujhko, Jo Daricha Bhi Khule Tu Nazar Aaye Mujhko; Sadiyon Ka Rat Jaga Meri Raaton Mein Aa Geya, Mein Ek Haseen Shakhs Ki Baaton Mein Aa Geya; Jab Tassavur Mera Chupke Se Tujhe Chu Aaye, Der Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye; Gustaakh Hawaaon Ki Shikaayat Na Kiya Kar, Udd Jaaye Dupatta Toh Khanak Odh Liya Kar; Tum Pucho Aur Main Na Bataun Aise Toh Halaat Nahi, Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur Toh Koi Baat Nahi; Raat Ke Sannate Mein Humne Kya-Kya Dhokhe Khaaye Hain, Apna Hi Dil Jab Dhadka Toh Hum Samjhe Wo Aaye Hain! |
Kaam Sab Ghair Zaruri Hain: Kaam Sab Ghair Zaroori Hain Jo Sab Karte Hain, Aur Hum Kuch Nahi Karte Hain Lekin Ghazab Karte Hain; Hum Pe Hakim Ka Koi Hukm Nahi Chalta Hai, Hum Qalandar Hain, Shahanshaah Laqab Karte Hain; Aap Ki Nazron Mein Suraj Ke Hai Jitni Azmat, Hum Chiraagon Ka Bhi Utna Hi Adab Karte Hain; Dekhiye Jisko Use Dhun Hai Masihaai Ki, Aaj-Kal Sheharon Ke Bimar Matab Karte Hain! |
Ye Ehtiyaate Mohabbat: Ye Ehtiyaate Mohabbat Toh Jee Nahi Jaati, Ki Teri Baat Tujhi Se Kahi Nahi Jaati; Teri Nigaah Bhi Kaisi Ajab Kahani Hai, Mere Alawa Kisi Se Padhi Nahi Jaati; Tujhe Pata Bhi Hai Suraj Tere Ilaake Mein, Kahin-Kahin Toh Kabhi Roshni Nahi Jaati; Ajab Mizaj Hai In Khandani Logon Ka, Tabaah Ho Ke Bhi Dariya Dili Nahi Jaati! |
Yahi Halaat Ibtda Se Rahe: Yahi Halaat Ibtda Se Rahe, Log Humse Khafa-Khafa Se Rahe; Bewafa Tum Kabhi Na The Lekin, Yeh Bhi Sach Hai Bewafa Se Rahe; In Chiragon Mein Tel Hi Kam Tha, Kyon Gila Phir Humein Hawa Se Rahe; Bahas, Shatranj, Sher Mausiki, Tum Nahi Rahe To Yeh Dilaase Rahe; Uske Bando Ko Dekhkar Kahiye, Humko Umeed Kya Khuda Se Rahe; Zindagi Ki Sharab Mangate Ho, Hum Ko Dekho Ki Pee Ke Pyaase Rahe! |
Main Iss Ummeed Pe Dooba Ki Tu Bacha Lega: Main Iss Ummeed Pe Dooba Ki Tu Bacha Lega, Ab Iske Baad Mera Imtihaan Kya Lega; Yeh Ek Mela Hai Vaada Kisi Se Kya Lega, Dhalegaa Din Toh Har Ek Apna Raasta Lega; Main Bujh Geya Toh Hamesha Ko Bujh Hi Jaaunga, Koi Chiraag Nahi Hun Ki Phir Jalaa Lega; Kaleja Chahiye Dushman Se Dushmani Ke Liye, Jo Be-Amal Hai Woh Badla Kisi Se Kya Lega; Main Uska Ho Nahi Sakta Bata Na Dena Use, Sunegaa Toh Lakeeren Haath Ki Apni Woh Jalaa Lega; Hazaar Tod Ke Aa Jaaun Us Se Rishta 'Wasim', Main Jaanta Hun, Woh Jab Chahega, Bula Lega! |
Ranjish Hi Sahi: Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa, Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jane Ke Liye Aa; Pehle Se Marasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi Toh, Rasm-o-Rahe Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa; Kis-Kis Ko Batayenge Judaai Ka Sabab Hum, Tu Mujh Se Khafa Hai Toh Zamane Ke Liye Aa; Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh, Tu Bhi Toh Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa; Ek Umar Se Hun Lazzat-e-Giriya Se Bhi Mehrum, Ae Rahat-e-Jaan Mujh Ko Rulane Ke Liye Aa; Ab Tak Dil-e-Khushfaham Ko Tujh Se Hain Ummedein, Yeh Aakhiri Shammen Bhi Bujhane Ke Liye Aa; Mana Ki Mohabbat Ka Chipana Hai Mohabbat, Chupke Se Kisi Roz Jatane Ke Liye Aa; Jaise Tujhe Aate Hain Na Aane Ke Bahane, Aise Hi Kisi Roz Na Jane Ke Liye Aa! ~ Ahmad Faraz |
Har Taraf Har Jagah Beshumaar Aadmi, Phir Bhi Tanhaaiyon Ka Shikaar Aadmi; Subah Se Shaam Tak Bojh Dhota Hua, Apni Hi Laash Ka Khud Mazaar Aadami; Har Taraf Bhaagte Daudte Raaste, Har Taraf Aadmi Ka Shikaar Aadmi; Roz Jeeta Hua Roz Marta Hua, Har Naye Din Naya Intezaar Aadmi; Zindagi Ka Muqaddar Safar Dar Safar, Aakhiri Saans Tak Beqaraar Aadmi! |
Sari Basti Mein Ye Jadoo Nazar Aaye Mujhko, Jo Daricha Bhi Khule Tu Nazar Aaye Mujhko; Sadiyon Ka Raat Jaga Meri Raaton Mein Aa Geya, Main Ek Haseen Shakhs Ki Baaton Mein Aa Geya; Jab Tassavuur Mera Chupke Se Tujhe Choo Aaye, Der Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye; Gustaakh Hawaaon Ki Shikaayat Na Kiya Kar, Udd Jaaye Duptta Toh Khanak Odh Liya Kar; Tum Pucho Aur Main Na Bataoon Aise Toh Halaat Nahi, Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur Toh Koi Baat Nahi; Raat Ke Sannate Mein Humne Kya-Kya Dhokhe Khaye Hain, Apna Hi Dil Jab Dhadka Toh Hum Samjhe Woh Aaye Hain! |
Log Toot Jaate Hain Ek Ghar Banaane Mein, Tum Taras Nahi Khate, Bastiyaan Jalaane Mein; Aur Jaam Tootenge Is Sharaab-Khaane Mein, Mausmon Ke Aane Mein, Mausmon Ke Jane Mein; Har Dhadakkate Patthar Ko Log Dil Samajhte Hain, Umr Beet Jaati Hai, Dil Ko Dil Banane Mein; Fakhtaa Ki Mazboori Yeh Bhi Keh Nahi Sakti, Kaun Saanp Rakhta Hai Uske Aashiyane Mein; Doosri Koi Ladki Zindgi Mein Aayegi, Kitni Der Lagti Hai Usko Bhool Jaane Mein! |
Ye Sard Raatein Bhi Ban Kar Abhi Dhuaan Uad Jaayein, Woh Ik Lihaaf Main Odhu To Sardiyaan Uad Jaayein; Khudaa Ka Shukr Ki Mera Makaan Salamat Hai, Hain Utani Tez Hawaayein Ki Bastiyan Udd Jaayein; Zameen Se Ek Talluk Ne Baandh Rakha Hai, Badan Mein Khoon Nahi Ho To Haddiyaan Udd Jaayein; Bikhar-Bikhar Si Gayi Hai Kitaab Saanson Ki, Yeh Kaagzaat Khudaa Jaane Kab Kahan Udd Jaayein; Rahe Khyaal Ki Mazoob-e-Ishq Hain Hum Log, Agar Zameen Se Phoonke To Aasmaan Udd Jaayein; Hawaayein Baaz Kahan Aati Hain Sharaarat Se, Saron Pe Haath Na Rakhein To Pagdiyaan Udd Jaayein; Bahut Guroor Hai Dariyaa Ko Apne Hone Par, Jo Meri Pyaas Se Uljhe To Dhajjiyan Udd Jaayein! |