Barabar Se Bach Kar Guzar Jaane Vaale, Ye Naale Nahi Be-Asar Jaane Vaale; Nahin Jaante Kuchh Ki Jaana Kahan Hai, Chale Jaa Rahe Hain Magar Jaane Vaale; Mire Dil Ki Betabiyan Bhi Liye Ja, Dabe Paanv Munh Pher Kar Jaane Vaale; Tire Ik Ishare Pe Sakit Khade Hain, Nahin Kah Ke Sab Se Guzar Jaane Vaale; Mohabbat Mein Hum To Jiye Hain Jiyenge, Woh Honge Koi Aur Mar Jaane Vaale! |
Aankhon Se Mere Isliye Laali Nahi Jaati, Yaadon Se Koi Raat Khaali Nahi Jaati; Ab Na Umr Na Mausam Na Raste Ke Woh Patte, Is Dil Ki Magar Khaam-Khayali Nahi Jaati; Maange Tu Agar Jaan Bhi To Hans Kar Tujhe De Du, Teri Toh Koi Baat Bhi Taali Nahi Jaati; Maloom Humein Bhi Hain Bahut Se Tere Qisse, Par Baat Teri Humse Uchhali Nahi Jaati; Hum-Raah Tere Phool Khilaati Thi Jo Dil Mein, Ab Shaam Wohi Dard Se Khaali Nahi Jaati; Hum Jaan Se Jayenge Tabhi Baat Banegi, Tumse To Koi Baat Nikaali Nahi Jaati! |
Mera Zameer Mera Aitbaar Bolta Hai, Meri Zubaan Se Parvardigaar Bolta Hai; Teri Zubaan Katarna Bahut Zaroori Hai, Tujhe Maraz Hai Ki Tu Baar-Baar Bolta Hai; Kuch Aur Kaam Use Yaad Hi Nahi Shayad, Magar Woh Jhooth Bahut Shaandaar Bolta Hai; Khuda Ne Uske Labon Par Mithaas Rakh Di Hai, Woh Bolta Hai Toh Jaise Sitaar Bolta Hai! |
Tum Chale Jaaoge Toh, Kaise Mulaqaat Hogi, Na Hi Katega Din, Na Guzar Meri Raat Hogi; Meri Zindagi Ki Khushiyaan, Tumse Hai Wabasta, Tumhare Bina Ab Toh, Sooni Meri Qainaat Hogi; Beete Lamhon Ko Yaad Kar, Tumhein Mehsoos Karenge, Labon Se Muskurayenge, Aur Aankhon Se Barsaat Hogi; Kitna Dil-Nasheen Hoga, Tumhari Yaadon Ka Manzar, Ki Tumhari Tasveer Seene Se Lagakar, Meri Baat Hogi; Chahe Kahin Bhi Raho Tum, Bas Humein Hi Paaoge, Tumhare Hum-Raah Ab Toh, Meri Yaad Saath Hogi; Tum Hi Meri Khwahish Ho, Sada Muskurate Rehna, Sang Tumhare Meri Jaan, Meri Duaon Ki Saugaat Hogi! |
Tum Aaye Ho, Na Shab-e-Intezar Guzri Hai, Talash Mein Hai Sahar, Baar, Baar Guzri Hai; Junoon Mein Jitni Bhi Guzri Bekar Guzri Hai, Agarche Dil Pe Kharabi Hazaar Guzri Hai; Woh Baat Sare Fasane Mein Jiska Zikr Na Tha, Woh Baat Un Ko Bahut Nagavar Guzri Hai; Na Gul Khile Hain, Na Un Se Mile Hain, Na Mai Pi Hai, Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar, Guzri Hai; Chaman Pe Gharat-e-Gulchin Se Jane Kya Guzri, Qafas Se Aaj Saba Be-Qarar Guzri Hai! |
Ulti Ho Gayi Sab Tadbeerein Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya, Dekha ! Is Beemaari-E-Dil Ne Aakhir Kaam Tammam Kiya; Ahad-E-Jawaani Ro Ro Kaata, Peeri Mein Li Aankhein Moond, Yaani Raat Bahut The Jaage, Subah Huyi Aaraam Kiya; Naahak Ham Majbooron Par Yeh Tohmat Hai Mukhtaari Ki, Chaahte Hain So Aap Kare Hain Hamko Abas Badnaam Kiya; Yaan Ke Sapaid-O-Siyaah Mein Hamko Dakhl Jo Hai So Itna Hai, Raat Ko Ro Ro Subah Kiya Ya Din Ko Jun Tun Shaam Kiya; 'Meer' Ke Deen-O-Mazhab Ko Ab Poocho Kya Ho Un Ne To, Kashqaan Khaincha, Deher Mein Baitha, Kab Ka Tarq-Islaam Kiya! |
Yeh Narm Narm Hawa Jhilmila Rahe Hain Chirag,
Tere Khyal Kee Khushboo Se Bas Rahe Hain Dimag; Dilon Ko Tere Tabassum Kee Yaad Yun Aayi, Ki Jagmaga Uthe Jis Tarah Mandiron Mein Chirag; Tamaam Shola-E-Gul Hai Tamaam Mauj-E-Bahaar, Ki Taa-Had-E-Nigaah-E-Shauq Lahlahate Hain Baag; Nayi Zameen, Naya Aasmaan, Nayi Duniya, Suna To Hai Ki Mohabbat Ko In Dinon Hai Farag; Dilon Mein Daag-E-Mohabbat Ka Ab Yeh Aalam Hai, Ki Jaise Neend Mein Doobe Hon Pichali Raat Chirag; Firaq Bazm-E-Chiragan Hai Mehfil-E-Rindan, Saje Hain Pighli Hui Aag Se Chalkate Ayaag! |
Itna To Dosti Ka Silaah Dijiye Mujhe, Apna Samajh Ke Zeher Pila Dijiye Mujhe; Uthe Na Taa-Ke Aap Ki Janib Nazar Koi, Jitni Bhi Tohmtain Hain Lagaa Dijiye Mujhe; Kyon Aap Ki Khushi Ko Mera Gham Kare Udaas, Ik Talkhh Haadsa Hun Bhula Dijiye Mujhe; Main Aap Ke Kareeb Hi Hota Hun Har Ghadi, Mauka Kabhi Pade To Sada Dijiye Mujhe; Har Cheez Dastiyaab Hai Bazaar Mein Adam, Jhoothi Khushi Khareed Ke La Dijiye Mujhe! |
Tamanaaon Main Uljhaaya Geya Hoon, Khilone De Ke Behlaaya Geya Hoon; Hoon Iss Kuuche Ke Har Zaray Se Waqif, Idhar Se Mudatton Aaya Geya Hoon; Nahin Uthte Qadam Kyun Jaanib-E-Dair, Kisi Masjid Main Behkaaya Geya Hoon; Dil-E-Muztar Se Pooch Ae Raunak-E-Bazm, Main Khud Aaya Nahin Laaya Geya Hoon; Savera Hai Bohat Ae Shor-E-Mehshar, Abhi Bekaar Uthvaaya Geya Hoon; Sataya Aa Ke Pehron Aarzuu Ne, Jo Dum Bhar Aap Main Paaya Geya Hoon; Kuja Main Aur Kuja Ae Shad Duniya, Kahan Se Kis Jagah Laaya Geya Hoon! |
Apni Tanhayi Mere Naam Pe Abaad Kare, Kaun Ho Ga Jo Mujhe Uss Ki Tarah Yaad Kare, Dil Ajab Sheher Ke Jis Pr Bhi Khula Dar Us Ka, Woh Musaafir Isse Har Samt Se Barbaad Kare, Apne Qaatil Ki Zehaanat Se Pareshaan Hoon Main, Roz Ik Maut Naye Tarzz Ki Ijaad Kare, Itna Hairaan Ho Meri Be-Talabbi Ke Aagey, Waa Qaffass Main Koi Dar Khud Mera Sayaad Kare, Salb-E-Binaayi Ke Ehkaam Mile Hain Jo Kabhi, Roshni Chhuune Ki Khawhish Koi Shab-Zaad Kare, Soch Rakhnaa Bhi Jaraayem Main Hai Shaamil Ab To, Wohi Maasoom Hai Har Baat Pe Jo Saad Kare, Jab Lahuu Bol Parre Us Ke Gavaahon Ke Khilaaf, Qaazi-E-Sheher Kuch Is Baab Main Irshaad Kare, Uss Ki Muthi Main Bohat Roz Raha Mera Wajood, Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Aazaad Kare! |