Ghazal Shayari

  • Hum Musaafir Yun Hi Masroof-E-Safar Jaayen Ge,
    Be-Nishaan Ho Gaye Jab Shehar To Ghar Jaayen Ge;

    Kis Kadar Hoga Yahan Mehr-O-Wafa Ka Maatam,
    Hum Teri Yaad Se Jis Roz Utar Jaayen Ge;

    Jauhri Band Kiye Jaate Hain Bazaar-E-Sukhan,
    Hum Kise Bechne Almaas-O-Gauhar Jayen Ge;

    Nemat-E-Zeest Ka Yeh Karz Chukega Kaise,
    Laakh Ghabra Ke Yeh Kehte Hain Rahen Mar Jaayen Ge;

    Shayad Apna Bhi Koi Bait Hudi-Khvan Ban Kar,
    Saath Jaaye Ga Mere Yaar Jidhar Jaayen Ge;

    Faiz Aate Hain Rah-E-Ishq Main Jo Sakht Maqaam,
    Aane Walon Se Kaho Hum To Guzar Jaayen Ge!
    ~ Faiz Ahmad Faiz
  • Na Ho Yaa Rabb Aisi Tabiyat Kisi Kee,
    Ki Hans Hans Ke Dekhe Museebat Kisi Kee;

    Jafaa Un Se Mujh Se Wafa Kaise Chhute,
    Ye Sach Hai Nahi Chhutati Aadat Kisi Kee;

    Achhoota Jo Gham Ho To Is Mein Bhi Khush Hun,
    Nahi Mujh Ko Manzoor Shirkat Kisi Kee;

    Haseeno Kee Dono Adayein Hain Dil-Bar,
    Kisi Kee Haya To Shararat Kisi Kee;

    Mujhe Gum-Shuda Dil Ka Gham Hai To Ye Hai,
    Ke Is Mein Bhari Thi Mohabbat Kisi Kee;

    Bahut Roye Hum Yaad Mein Apne Dil Kee,
    Jahan Dekhi Nanhi Si Turbat Kisi Kee!
    ~ Afsar Allahabadi
  • Mujhse Milne Ke Wo

    Mujhse Milne Ke Wo Karta Thaa Bahane Kitne,
    Ab Guzarega Mere Saath Zamaane Kitne;

    Main Gira Tha To Bahut Log Ruke The Lekin,
    Sochta Hun Mujhe Aaye The Uthane Kitne;

    Jis Tarah Maine Tujhe Apna Bana Rakha Hai,
    Sochte Honge Yahi Baat Na Jaane Kitne;

    Tum Naya Zakham Lagao Tumhein Is Se Kya Hai,
    Bharne Wale Hain Abhi Zakham Purane Kitne!
    ~ Seemab Akbarabadi
  • Jhonka Idhar Na Aaye Naseem-e-Bahaar Ka,
    Naazuk Bahut Hai Phool Charaag-e-Mazaar Ka;

    Phir Baithe-Baithe Vaad-e-Vasl Us Ne Kar Liya,
    Phir Uth Khada Hua Vahi Rog Intezaar Ka;

    Shaakhon Se Barg-e-Gul Nahi Jhadte Hain Baag Mein,
    Zevar Utaar Raha Hai Uroos-e-Bahaar Ka;

    Har Gul Se Laalazaar Mein Ye Puchta Hun Main,
    Tu Hi Pata Bata De Dil-e-Daagdaar Ka;

    Is Pyaar Se Fishaar Diya Gor-e-Tang Ne,
    Yaad Aa Geya Maza Mujhe Aagosh-e-Yaar Ka;

    Hilti Nahi Hawa Se Chaman Mein Ye Daaliyan,
    Munh Choomte Hain Phool Uroos-e-Bahaar Ka;

    Uthta Hai Naza Mein Vo Sarhane Se Ai 'Ameer',
    Mitta Hai Aasra Dil-e-Ummeedvaar Ka!
    ~ Ameer Minai
  • Koi Naata Na Mohabbat Ke Barabar Nikla,
    Toot Kar Chaha Jise Woh Sitamgar Nikla;

    Yun To Har Lehar Se Thi Apni Shanasayi Bahut,
    Samjha Sahil Jise Woh Gham Ka Samandar Nikla;

    Rooh Mein Jhaanka To Yeh Mehsoos Hua Mujh Ko,
    Itna Zarkhaiz Jo Lagta Tha Woh Banjar Nikla;

    Narmi Hathon Mein Na Garmi Saanson Mein Magar,
    Maine Chuu Kar Use Dekha To Woh Patthar Nikla!
  • Deedaar Ki Hawas Hai Na Shauq-E-Visaal Hai,
    Azaad Har Khayal Se Mast-E-Khayal Hai;

    Keh Do Yeh Kohkan Se Hi Marna Nahi Kamaal,
    Mar Mar Ke Hijr-E-Yaar Main Jeena Kamaal Hai;

    Fatva Diya Hai Mufti Abr-E-Bahaar Ne,
    Tauba Ka Khooon Baada-Kashon Ko Halaal Hai;

    Aankhen Bata Rahi Hain Jaage Ho Raat Ko,
    In Saaghron Mein Buu-E-Sharab-E-Visaal Hai;

    Barsaao Teer Mujh Pe Par Itna Jaan Lo,
    Pehlu Mein Dil Hai Dil Mein Tumhara Khayal Hai;

    Aankhen Lada Ke Un Se Hum Aafaat Mein Pad Gaye,
    Aankhon Ki Har Zubaan Pe Dil Ka Sawaal Hai;

    Bhutt Keh Diya Jo Maine To Ab Bolte Nahin,
    Itni Si Baat Ka Tumhe Itna Khayal Hai;

    Pucha Jo Unse Jaante Ho Tum Jaleel Ko,
    Bole Ke Haan Woh Shayer-E-Naazuk-Khayal Hai!
    ~ Jaleel Manikpuri
  • Khayaal-e-Yaar Mein Mujh Ko Yun Hi Madhosh Rehne Do,
    Na Pucho Raat Ka Qissa Mujhe Khamosh Rehne Do;

    Sunaya Vasl Ka Qissa To Mere Dost Yun Bole,
    Kahan Tum Kahan Us Kee Haseen Aghosh Rehne Do;

    Mujhe Maloom Hai Us Ne Mera Hona Nahin Lekin,
    Meri Umeed Mat Todo Mujhe Pur-Josh Rehne Do;

    Mohabbat Jurm Hai Mera Mujhe Iqraar Hai Iska,
    Wafaa Ilzaam Hai To Phir Mere Sar Dosh Rehne Do;

    Kitaab-e-Ishq Se Hum Par Yehi Raaz Khula Hai,
    Paaye Jo Jaam Ulfat Ka Usse Meh-Nosh Rehne Do!
  • Muddat Se Lapata Hai Khudaa Jaane Kya Hua,
    Phirta Tha Ek Shakhs Tumhein Puchta Huaa;

    Wo Zindgi Thi Aap The Ya Koi Khwab Tha,
    Jo Kuch Tha Ek Lamhe Ko Bas Samna Hua;

    Hum Ne Tere Bagair Bhi Jee Kar Dikha Diya,
    Ab Ye Sawal Kya Hai Ki Phir Dil Ka Kya Hua;

    So Bhi Wo Tu Na Dekh Saki Ai Hawa-e-Dahar,
    Seene Mein Ik Charag Rakha Tha Jala Hua;

    Duniya Ko Zid Numaish-e-Zakhm-e-Jigar Se Thi,
    Fariyad Maine Kee Na Zamana Khafa Hua;

    Har Anjuman Mein Dhyaan Usi Anjuman Ka Hai,
    Jagaa Ho Jaise Khwaab Koi Dekhta Hua;

    Ye Iztiraab-e-Shauq Hai 'Akhtar' Ki Gum-Rahi,
    Main Apne Kaafile Se Hun Koson Badha Hua!
    ~ Akhtar Saeed Khan
  • Ab Woh Ghar Tak Viraana Tha Bas Viraana Zinda Tha,
    Sab Aankhen Damm Tod Chuki Thi Aur Main Tanha Zinda Tha;

    Saari Gali Sunsaan Padi Thi Baad-E-Fana Ke Pehre Mein,
    Hijr Ke Dalaan Aur Aangan Mein Bas Ik Saaya Zinda Tha;

    Woh Dopeher Apni Rukhsat Ki Aisa Waisa Dhoka Thi,
    Apne Andar Apni Laash Uthaaye Main Jhootha Zinda Tha;

    Thi Woh Ghar Raatein Bhi Kahani Vaade Aur Phir Din Ginna,
    Aana Tha Jaane Wale Ko Jaane Wala Zinda Tha;

    Dastak Dene Wale Bhi The Dastak Sunne Wale Bhi,
    Tha Abaad Mohalla Sara Har Darwaza Zinda Tha;

    Peele Patton Ko Seh-Pehr Ki Vehshat Pursa Deti Thi,
    Aangan Mein Ik Aundhe Ghade Par Bas Ik Kava Zinda Tha!
    ~ Jon Elia
  • Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein,
    Phir Us Ke Baad Musalsal Azaab Aankhon Mein;

    Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshani Tha Wujood,
    Khattak Raha Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mein;

    Jinhen Mata-E-Dil-O-Jaan Samajh Rahe The Hum,
    Wo Aaine Bhi Hue Behijab Aankhon Mein;

    Ajab Tarah Ka Hai Mausam Kee Khak Udti Hai,
    Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein;

    Mere Ghazal Teri Wahshaton Kee Khair, Ke Hai,
    Bahut Dinon Se Bahut Iztarab Aankhon Mein;

    Na Jane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai,
    Ye Uljhanein Teri Be-Intasaab Aankhon Mein!
    ~ Iftikhar Arif
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT