Ghazal Shayari

  • Aye Dost Teri Aankh Jo Nam Hai To Mujhe Kya,
    Main Khoob Hansunga Tujhe Gham Hai To Mujhe Kya;

    Kya Main Ne Kaha Tha Ki Zamane Se Bhala Kar,
    Ab Tu Bhi Sazavar-e-Sitam Hai To Mujhe Kya;

    Haan Le Le Kasam Gar Mujhe Qatra Bhi Mila Ho,
    Tu Shaaki-e-Arbaab-e-Karam Hai To Mujhe Kya;

    Jis Dar Se Nidamat Ke Siva Kuch Nahi Milta,
    Us Dar Pe Tera Sar Bhi Jo Khham Hai To Mujhe Kya;

    Maine To Pukara Hai Mohabbat Ke Ufaq Se,
    Raaste Mein Tere Sang-e-Haram Hai To Mujhe Kya;

    Bhoola To Na Hoga Tujhe Suqraat Ka Anjaam,
    Haathon Mein Tere Saaghar-e-Sam Hai To Mujhe Kya;

    Patthar Na Paden Gar Sar-e-Bazaar To Kehna,
    Tu Motarif-e-Husn-e-Sanam Hai To Mujhe Kya;

    Main Sarmad-o-Mansoor Bana Hun Teri Khaatir,
    Yeh Bhi Teri Umeed Se Kam Hai To Mujhe Kya!
    ~ Qateel Shifai
  • Ik Aaalam-E-Hijraan Hi Ab Hum Ko Pasand Aaya,
    Yeh Khaana-E-Viraaan Hi Ab Hum Ko Pasand Aaya;

    Benaaam-O-Nishaan Rehna Ghurbat Ke Ilaaqe Main,
    Yeh Sheher Bhi Dilkash Tha Tab Hum Ko Pasand Aaya;

    Tha Laal Hua Manzar Sooraj Ke Nikalne Se,
    Woh Waqt Tha Woh Chehra Jab Hum Ko Pasand Aaya;

    Hai Qataa-E-Talluq Se Dil Khush To Bahut Apna,
    Ik Hadh Hi Banaa Lena Kab Hum Ko Pasand Aaya;

    Aana Woh 'Munir' Us Ka Be-Khauf-O-Khatar Hum Tak,
    Yeh Turfaa Tamaasha Bhi Shab Hum Ko Pasand Aaya!
    ~ Munir Niazi
  • Hans Ke Farmaate Hain Wo Dekh Kar Halat Meri,
    Kyon Tum Aasaan Samajhate The Mohabbat Meri;

    Baad Marane Ke Bhi Chhodi Na Rafaaqat Meri,
    Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri;

    Maine Aagosh-e-Tasavur Mein Bhi Khencha To Kaha,
    Pis Gayi Pis Gayi Bedard Nazakat Meri;

    Aaina Subah-e-Shab-e-Vasl Jo Dekha To Kaha,
    Dekh Zaalim Ye Thi Shaam Ko Soorat Meri;

    Yaar Pehalu Mein Hai Tanhayi Hai Keh Do Nikle,
    Aaj Kyon Dil Mein Chhupi Baithi Hai Hasrat Meri;

    Husn Aur Ishq Hum Aagosh Nazar Aa Jaate,
    Teri Tasveer Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri;

    Kis Dhitaayi Se Vo Dil Chheen Ke Kehte Hain 'Ameer',
    Vo Mera Ghar Hai Rahe Jis Mein Mohabbat Meri!
    ~ Ameer Minai
  • Dushman Kee Dosti Hai Ab Ahale Vatan Ke Saath,
    Hai Ab Khijaan Chaman Mein Naye Pairahan Ke Saath;

    Sar Par Hawaye Zulm Chale Sau Yatan Ke Saath,
    Apni Kulaah Kaj Hai Usi Baankpan Ke Saath;

    Kisne Kaha Ki Toot Geya Khanzare Phirang,
    Seene Pe Zakhme Nau Bhi Hai Daage Kuhan Ke Saath;

    Jhonke Jo Lag Rahe Hain Naseeme Bahaar Ke,
    Jumbish Mein Hai Kafas Bhi Aseere Chaman Ke Saath;

    Majrooh Kaafale Ki Mere Daastaan Ye Hai,
    Rehbar Ne Mil Ke Loot Liya Raahajan Ke Saath!
    ~ Majrooh Sultanpuri
  • Meri Saari Zindagi Ko Be'samar Iss Ne Kiya;
    Umar Meri Thi Magar,Isko Basar Iss Ne Kiya;

    Main Bahut Kamzor Tha Iss Mulq Mein Hijrat Ke Baad;
    Par Mujhe Iss Mulq Mein Kamzor'tar Iss Ne Kiya;

    Rehbar Mera Bana Gumraah Karne Ke Liye;
    Mujhko Seedhe Raaste Se Darbadar Iss Ne Kiya;

    Shehar Mein Woh Moatbir Meri Gawahi Se Hua;
    Phir Mujhe Iss Shehar Mein Na'moatbir Iss Ne Kiya;

    Shehar Ko Barbaad Kar Ke Rakh Diya Iss Ne 'Munir';
    Shehar Per Yeh Zulm Mere Naam Par Iss Ne Kiya!
    ~ Munir Niazi
  • Ye Aarzoo Thi Tujhe Gul Ke Rubaru Karte,
    Hum Aur Bulbul-e-Betaab Guftagu Karte;

    Payaam Bar Na Mayassar Hua To Khoob Hua,
    Zubaan-e-Gair Se Kya Shar Kee Aarzoo Karte;

    Meri Tarah Se Maah-o-Mahar Bhi Hain Aawara,
    Kisi Habeeb Ko Ye Bhi Hain Justaju Karte;

    Jo Dekhte Teri Zanjeer-e-Zulf Ka Aalam,
    Aseer Hone Ke Aazaad Aarzoo Karte;

    Na Puch Aalam-e-Bargashta Tali-e-"Aatish",
    Barasati Aag Mein Jo Baaraan Kee Aarzoo Karte!
    ~ Atish
  • Dhoop Bahut Hai Mausam Jal-Thal Bhejo Na,
    Baba Mere Naam Ka Baadal Bhejo Na;

    Molsari Kee Shaakhon Par Bhi Diye Jalen,
    Shaakhon Ka Kesaraya Aanchal Bhejo Na;

    Nanhi Munni Sab Chehkarein Kahaan Gayi,
    Moron Ke Pairon Kee Payaal Bhejo Na;

    Basti Basti Dehshat Kisne Bo Di Hai,
    Galiyon Bazaaron Kee Hulchal Bhejo Na;

    Saare Mausam Ek Umas Ke Aadi Hain,
    Chhaanv Kee Khushbu, Dhoop Ka Sandal Bhejo Na;

    Main Basti Mein Aakhir Kis Se Baat Karun,
    Mere Jaisa Koi Paagal Bhejo Na!
    ~ Rahat Indori
  • Ek Pal Mein Ek Sadi Ka Maza Humse Puchiye,
    Do Din Kee Zindagi Ka Maza Humase Puchiye;

    Bhoole Hai Raftaa-Raftaa Unhe Muddaton Mein Hum,
    Kishto Mein Khudkushi Ka Maza Humse Puchiye;

    Aagaaz-e-Aashiqui Ka Maza Aap Jaaniye,
    Anzaam-e-Aashiqui Ka Maza Humse Puchiye;

    Jalte Diyo Mein Jalte Gharon Jaisi Lau Kahan,
    Sarkaar Roshani Ka Maza Humase Puchiye;

    Wo Jaan Hi Gaye Ki Humein Unse Pyaar Hai,
    Aankhon Kee Mukhbari Ka Maza Humse Puchiye;

    Hansne Ka Shaunk Humko Bhi Tha Aap Kee Tarah!
    ~ Khumar Barabankvi
  • Kahaan Tak Aankh Roegi Kahaan Tak Kiska Gham Hoga,
    Mere Jaisa Yahan Koi Na Koi Roz Kam Hoga;

    Tujhe Paane Kee Koshish Mein Kuch Itna Ro Chuka Hun Main,
    Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga;

    Samandar Kee Galatfehmi Se Koi Puch To Leta,
    Zameen Ka Haunsala Kya Aise Toofaano Se Kam Hoga;

    Mohabbat Naapne Ka Koi Paimana Nahi Hota,
    Kahin Tu Badh Bhi Sakta Hai, Kahin Tu Mujh Se Kam Hoga!
    ~ Wasim Barelvi
  • Yaad Mein Apne Yaar-e-Jaani Kee,
    Hum Ne Mar Mar Ke Zindagani Kee;

    Dosto Ko Adu Kiya Hum Ne,
    Kar Ke Taarif Yaar-e-Jaani Kee;

    Kyon Na Ruswaa Kare Zamaane Mein,
    Ye Kahani Gham-e-Nahani Kee;

    Rooh Hoyegi Hashar Mein Sahab,
    Ek Nishani Sara-e-Faani Kee;

    Khaak-Saari Se Badh Geya Insaan,
    Arz Par Sair Aasmaani Kee;

    Zard Surat Pe Hijr Mein Na Hanso,
    Sharah Hai Rang-e-Zaafaraani Kee;

    Aaj Kal Lakhnow Mein Ai 'Akhtar',
    Dhoom Hai Teri Khush-Bayaani Kee!
    ~ Wajid Ali Shah
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT