Ghazal Shayari

  • Yaaro Kisi Qatil Se Kabhi Pyaar Na Maango,
    Apne Hi Gale Ke Liye Talwar Na Maango;

    Gir Jaoge Tum Apne Maseeha Kee Nazar Se,
    Mar Kar Bhi Ilaaz-e-Dil-e-Beemar Na Maango;

    Khul Jayega Is Tarah Nigahon Ka Bharam Bhi,
    Kaanton Se Kabhi Phool Kee Mehakaar Na Maango;

    Sach Baat Pe Milta Hai Sada Zehar Ka Pyala,
    Jeena Hai To Phir Jeene Ke Izhaar Na Maango;

    Us Cheez Ka Kya Zikar Jo Mumkin Hi Nahi Hai,
    Sehara Mein Kabhi Sayaa-e-Deewar Na Maango!
    ~ Qateel Shifai
  • Kabhi Khaamosh Baithoge Kabhi Kuch Gungunaoge,
    Main Utana Yaad Aaunga Mujhe Jitna Bhulaoge;

    Koi Jab Puch Baithega Khamoshi Ka Sabab Tumse,
    Bahut Samjhana Chahoge Magar Samjha Na Paoge;

    Kabhi Duniya Mukkamal Ban Ke Aayegi Nigaahon Mein,
    Kabhi Mere Kabhi Duniya Kee Har Ek Shah Mein Paoge;

    Kahin Par Bhi Rahen Hum Tum Mohabbat Phir Mohabbat Hai,
    Tumhein Hum Yaad Aayenge Humein Tum Yaad Aaoge!
    ~ Nazeer Banarsi
  • Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain;
    Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;

    Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro;
    Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;

    Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
    Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;

    Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije;
    Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain!
    ~ Bashir Badr
  • Ye Din Bahaar Ke Ab Ke Bhi Raas Na Aa Sake,
    Ki Gunche Khil To Sake Khil Ke Muskura Na Sake;

    Meri Tabahi Dil Par To Reham Kha Na Saki,
    Jo Roshani Mein Rahe Roshani Ko Pa Na Sake;

    Na Jaane Aah! Ki Un Aansuon Pe Kya Guzari,
    Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Mishgaan Tak Aa Na Sake;

    Rahen Khulus-e-Mohabbat Ke Haadsaat Jahan,
    Mujhe To Kya Mere Naqsh-e-Kadam Mita Na Sake;

    KarenNge Mar Ke Baqa-e-Dawaam Kya Hasil,
    Jo Zindaa Reh Ke Muqaam-e-Hayat Pa Na Sake;

    Naya Zamanaa Banane Chale The Deewane,
    Nayi Zameen, Naya Aasmaan Bana Na Sake!
    ~ Josh Malihabadi
  • Main Bura Hi Sahi Bhala Na Sahi,
    Par Teri Kaun See Jafaa Na Sahi;

    Dard-e-Dil Hum To Un Se Keh Guzare,
    Gar Unhone Nahi Suna Na Sahi;

    Shab-e-Gham Mein Bala Se Shugal To Hai,
    Naala-e-Dil Mera Rasa Na Sahi;

    Dil Bhi Apna Nahi Raha Na Rahe,
    Ye Bhi Ai Charkh-e-Fitnaa-Zaa Na Sahi;

    Dekh To Lenge Wo Agar Aaye,
    Taaqat-e-Arz-e-Muddaa Na Sahi;

    Kuch To Aashiq Se Chhed-chhaad Rahi,
    Kaj-Adaayi Sahi Adaa Na Sahi;

    Kyon Bura Manate Ho Shikwa Mera,
    Chalo Be-Jaa Sahi B-Jaa Na Sahi;

    Uqada-e-Dil Hamara Ya Kismat,
    Na Khula Tujh Se Ai Saba Na Sahi;

    Vaaizo Band-e-Khuda To Hai 'Aish',
    Hum Ne Maana Wo Parasa Na Sahi!
    ~ Aish Dehlvi
  • Ishq Kee Duniya Mein Ek Hungama Barpaa Kar Diya;
    Ai Khayal-e-Dost Ye Kya Ho Gaya Kya Kar Diya;

    Zarre Zarre Ne Mera Afsana Sun Kar Daad Dee;
    Main Ne Vahshat Mein Jahaan Ko Tera Shaida Kar Diya;

    Toor Par Raah-e-Wafa Mein Bo Diye Kaante Kaleem;
    Ishq Kee Vusaat Ko Masdood-e-Taqazaa Kar Diya;

    Bistar-e-Mashriq Se Sooraj Ne Uthayaa Apana Sar;
    Kis Ne Ye Mehfil Mein Zikr-e-Husn-e-Yaktaa Kar Diya;

    Chashm-e-Nargis Jaa-e-Shabnam Khoon Royegi Nadeem;
    Maine Jis Din Gulasitan Ka Raaz Ifsaa Kar Diya;

    Mudda-e-Dil Kahun 'Ehasaan' Kis Umeed Par;
    Wo Jo Chahenge Karenge Aur Jo Chaha Kar Diya!
    ~ Ehsaan Danish
  • Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam Hui,
    Haseen Subah Hui Aur Haseen Shaam Hui;

    Baqaar-e-Ishq Bas Ab Sar Jhuka De Kadamon Par,
    Udhar Se Tere Liye Sabaqat-e-Salaam Hui;

    Har Ek Apni Jagah Khush Har Ek Yahi Samajha,
    Nigah-e-Khaas B-Tarz-e-Nigaah-e-Aam Hui;

    Nazar Mili To Tabassum Raha Khamoshi Par,
    Nazar Phiri To Zara Himmat-e-Kalaam Hui;

    Bas Ab To Tum Ne Mohabbat Ka Le Liya Badla,
    Maaf Karna Jo Takleef-e-Inteqam Hui;

    Hai Dekhne Hi Ka Waqfa Jise Samajhte Hain,
    'Raza' Wo Dhoop Chadhi Din Dhala Wo Shaam Hui!
    ~ Raza Lakhnawi
  • Uljhe Na Zulf Se Jo Pareshaniyon Mein Hum,
    Karte Hain Is Pe Naaz Ada-Daniyon Mein Hum;

    Saragarm-Raqs-Tazaa Hain Kurbaniyon Mein Hum,
    Shokhi Se Kiski Aaye Hain Jolaniyon Mein Hum;

    Sabit Hai Jurme-Shikwa Na Zahir Gunahe-Rashq,
    Hairan Hain Aap Apni Pareshaniyon Mein Hum;

    Maare Khushi Ke Mar Gaye Subahe-Shabe-Firaaq,
    Kitne Subuk Hue Hain Garaan-Jaaniyon Mein Hum;

    Aata Hai Khwaab Mein Bhi Teri Zulf Ka Khyaal,
    Betaur Ghir Gaye Hain Pareshaniyon Mein Hum;

    Dekha Idhar Ko Tune Ki Bas Dam Nikal Geya,
    Utare Nazar Se Apni Nigahabaniyon Mein Hum!
    ~ Hakim Momin Khan Momin
  • Din Muradon Ke Aish Kee Raatein,
    Haye Kya Ho Gayi Wo Barsaatein;

    Raat Ko Baag Mein Mulaqaatein,
    Yaad Hain Jaise Khwaab Kee Baatein;

    Hasratein Sard Aahein Garm Aansu,
    Layi Hai Barshagaal Saugatein;

    Khwar Hain Yun Mere Shabaab Ke Din,
    Jaise Jaadon Kee Chandni Raatein;

    Dil Ye Kehta Hai Kunj-e-Raahat Hun,
    Dekhna Gham-Naseeb Kee Baatein;
    v Jin Ke Dam Se Shabaab Tha Zinda,
    Hai 'Akhtar' Wo Ishq Kee Ghaatein!
    ~ Akhtar Ansari
  • Ye Keh Gaye Hain Musafir Lute Gharon Wale,
    Dare Hawa Se Parinde Khule Paron Wale;

    Ye Mere Dil Kee Hawas Dasht-e-Be-Karan Jaisi,
    Vo Teri Aankh Ke Tevar Samandaron Wale;

    Hawa Ke Haath Mein Kaase Hain Zard Patton Ke,
    Kahan Gaye Vo Sakhi Sabz Chadaron Wale;

    Kahan Milenge Vo Agle Dino Ke Shehzade,
    Pahan Ke Tan Pe Libaade Gada-Garon Wale;

    Pahadiyon Mein Ghire Ye Bujhe Bujhe Raaste,
    Kabhi Idhar Se Guzarte The Lashkaron Wale;

    Unhi Pe Ho Kabhi Nazil Azaab Aag Ajal,
    Vahi Nagar Kabhi Theharen Pyambaron Wale;

    Tere Supurd Karun Aaine Muqaddar Ke,
    Idhar To Aa Mere Khush-Rang Pattharon Wale;

    Kisi Ko Dekh Ke Chup Chup Se Kyon Hue 'Mohsin',
    Kahan Gaye Vo Iraade Sukhan-Varon Wale!
    ~ Mohsin Naqvi
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT