Gul Tera Rang Churaa Laye Hain Gulzaron Mein, Jal Raha Hun Bhari Barsaat Kee Baucharon Mein; Mujhse Katra Ke Nikal Ja, Magar Ai Jaan-e-Haya, Dil Kee Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaron Mein; v Husn-e-Begana-e-Ehsaas-Jamaal Achhaa Hai, Gunche Khilate Hain To Bik Jaate Hain Bazaaron Mein; Jikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unvaan-e-Jafaa, Charagar Phool Piro Laye Hain Talwaron Mein; Zakham Chhup Sakte Hain Lekin Mujhe Fan Hi Saugandh, Gham Kee Daulat Bhi Hai Shaamil Mere Shahkaron Mein; Mujhko Nafarat Se Nahi Pyaar Se Masloob Karo, Main To Shaamil Hun Mohabbat Ke Gunahwaron Mein! |
Hijr Kee Shab Mein Qaid Kare Yaa Subh-e-Visal Mein Rakhe, Achha Maula Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhe; Khel Ye Kaisaa Khel Rahi Hai Dil Se Teri Mohabbat, Ik Pal Kee Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe; Maine Sari Khushbuein Aanchal Se Baandh Ke Rakhi, Shayad In Ka Jikr Tu Apne Kisi Sawal Mein Rakhe; Kis Se Tere Aane Kee Sargoshi Ko Sunte Hi, Maine Kitne Phool Chune Aur Apni Shaal Mein Rakhe; Mushkil Ban Kar Toot Padi Hai Dil Par Ye Tanhayi, Ab Jaane Ye Kab Tak Us Ko Apne Jaal Mein Rakhe! |
Unhe Sawal Hi Lagata Hai Mera Rona Bhi, Ajab Saza Hai Jahaan Mein Gareeb Hona Bhi; Ye Raat Bhi Hai Odhana-Bichona Bhi, Is Ek Raat Mein Hai Jaagna Bhi Sona Bhi; Ajeeb Shehar Hai Ki Ghar Bhi Raaston Kee Tarah, Kaisa Naseeb Hai Raaton Ko Chup Ke Rona Bhi; Khule Mein Soyenge Motiya Ke Phoolon Se, Sajaa Lo Zulf Basa Lo Zara Bichona Bhi; 'Aziz' Kaisi Yeh Saudagaron Kee Basti Hai, Garaan Hai Dil Se Yahan Kaath Ka Khilona Bhi! |
Chal Diye Uth Ke Su-e-Shehar-e-Wafa Ku-e-Habib; Puch Lena Tha Kisi Khak Basar Se Pehle; Ishq Pehle Bhi Kiya Hijr Ka Gham Bhi Dekha; Itne Tadpe Hain Na Ghabraye Na Tarse Pehle; Jee Bahalta Hi Nahin Ab Koi Saath Koi Pal; Raat Dhalti Hi Nahin Char Pahar Se Pehle; Ham Kisi Dar Pe Na Thithak Na Kahin Dastak Di; Saikadon Dar The Meri Jaan Tere Dar Se Pehle; Chand Se Ankh Mili Jee Ka Ujala Jaga; Hum Ko So Bar Hui Subah Sahar Se Pehle! |
Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain; Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain; Humko Chodoge To Pachtaoge; Hansne Walon Se Hansa Karte Hain; Ye Batata Nahi Koi Mujhko; Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain; Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki; Har Ada Mein Wo Ada Karte Hain; Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebak; In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain; Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai; Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai; 'Daagh' Tu Dekh To Kya Hota Hai; Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain! |
Tere Khyaal Mein Kuch Aise Gum Raha Barson; Main Apne Aap Se Bhi Mil Nahin Saka Barson; Kahin Woh Zaaiqa Tehleel Hi Na Ho Jae; Main Tum Se Mil Kar Kisi Se Nahi Mila Barson; Kaha Tha Tum Ne Ke Tum Laut Ke Aaoge Ek Din; So Main Jahaan Tha Wahin Par Khada Raha Barson; Tere Baghair Meri Umar Raayegaan Guzri; Koi Bhi Kaam Nahin Theek Se Hua Barson; Tumhare Haath Kee Dastak Kee Aaas Mein 'Mohsin'; Main Apne Ghar Se Kahin Bhi Nahin Geya Barson! |
Koi Samajhaiye Ki Kya Rang Hai Maikhane Ka, Aankh Saqi Ke Uthe, Naam Ho Paimane Ka; Garmi-e-Shama Ka Afsana Sunane Walo, Raqs Dekha Nahi Tum Ne Abhi Parwane Ka; Chashm-e-Saqi Mujhe Har Gham Pe Yaad Aati Hai, Raasta Bhool Na Jaun Kahin Maikhane Ka; Ab To Har Sham Guzarti Hai Isi Kuche Mein, Ye Nateeza Hua Naseh Tere Samajhane Ka; Ab To Har Manzil Se Guzarna To Hai Aasan 'Iqbal', Ishq Hai Naam Khud Apne Se Guzar Jane Ka! |
Chand Tahniyon Ke Kafan Pe, Syahi Ki Kaalikh Mal Dete Hain, Khyaal "Raaz" Ke Bejeaa, Kyon Bezubaan Ki Laash Masal Dete Hain; Daur-O-Jaam Ki Mehfilon Mein, Saagaro Minaa Tak Hain Sab Aziz, Ashk Chalkein To Hum Sharminda, Woh Sar Jhatakte Hain, Chal Dete Hain; Ghamgusaari To Ki Aksar, Sochta Hun Ki Chand Pareshaniyan Meri Bhi To Hain, Hazi, Qazi, Niyazi Koi Ho, Kuch To Aise Milao Jo 'Hal' Dete Hain; Nekdili, Saafgoi, Dayanat Ke Sab Jazbon Ko Kitabon Mein Hi Rehne Den, Tazurba Hai, Bargalate Hain Aalim Kehkar, Ki Inka Farishte 'Fal' Dete Hain; Ye Jalwa-E-Husn, Ye Chamak, Ye Nazare Jahan Ke, "Raaz" Ke Vaaste Na Bhi Sahi, Itna To Humein Bhi Myssar, Maula Maula Kehte Bhi Khyaal To Machal Dete Hain! |
Aashiqon Ko Ai Falak Devega Tu Aazaar Kya; Dushman-e-Jaan Un Ka Thoda Hai Dil-e-Beemar Kya; Rashk Aave Kyon Na Mujh Ko Dekhana Us Kee Taraf; Takataki Baandhe Hue Hai Rozan-e-Deewar Kya; Aah Ne To Kheema-e-Gardon Ko Phoonka Dekhen Ab; Rang Laate Hain Hamare Deeda-e-Khoon-Baar Kya; Murg-e-Dil Ke Vaaste Ai Hum-Safeero Kam Hai Kyon; Kuch Kaza Ke Teer Se Teer-e-Nigah-e-Yaar Kya; Chal Ke Mai-Khaane Hi Mein Ab Dil Ko Bahlao Zara; 'Aish' Yaa Baithe Hue Karte Ho Tum Begaar Kya! |
Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par; Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara; Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe; Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe; Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon; Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon; Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin; Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe; Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad; Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar; Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane; Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai! |