Ghazal Shayari

  • Dil Mein Mehak Rahe Hain Kisi Aarzoo Ke Phool;
    Palkon Pe Khilnewale Hain Shayad Lahoo Ke Phool;

    Ab Tak Hai Koi Baat Mujhe Yaad Harf-Harf;
    Ab Tak Main Chun Raha Hoon Kisi Guftagoo Ke Phool;

    Kaliyan Chatak Rahi Thi Ki Aawaz Thi Koi;
    Ab Tak Sma-Ato Mein Hai Ik Khushguloo Ke Phool;

    Mere Lahoo Ka Rang Hai Har Noke-Khar Par;
    Sehra Mein Har Taraf Hai Meri Justaju Ke Phool;

    Deewane Kal Jo Log The Phoolon Ke Ishq Mein;
    Ab Unke Daaman Mein Bharein Hain Rafoo Ke Phool!
    ~ Javed Akhtar
  • Kyon Phir Rahe Ho Kaif Ye Khatre Ka Ghar Liye,
    Ye Kaanch Ka Shareer Ye Kaagaz Ka Sar Liye;

    Sholey Nikal Rahe Hain Gulabon Ke Jism Se,
    Titali Na Ja Kareeb Ye Resham Ke Par Liye;

    Jaane Bahaar Naam Hai Lekin Ye Kaam Hai,
    Kaliyan Taraash Lee To Kabhi Gul Qatar Liye;

    Ranjhaa Bane Hain, Kais Bane, Kohakan Bane,
    Humne Kisi Ke Vaaste Sab Roop Dhar Liye;

    Na Meharabane Shehar Ne Thukra Diya Mujhe,
    Main Phir Raha Hun Apna Makaan Dar-B-Dar Liye!
    ~ Kaif Bhopali
  • Wo Khafa Hain To Koi Baat Nahi,
    Ishq Mohtaaj-e-Iltfhaq Nahi;

    Dil Bujha Ho Agar To Din Bhi Hai Raat Nahi,
    Din Ho Roshan To Raat Raat Nahi;

    Dil-e-Saaki Main Todu-e-Vaail,
    Ja Mujhe Khwahish-e-Najaat Nahi;

    Aisi Bhuli Hai Qaynaat Mujhe,
    Jaise Main Jisb-e-Qaynaat Nahi;

    Peer Kee Basti Ja Rahi Hai Magar,
    Sabko Ye Veham Hai Ki Raat Nahi;

    Mere Layak Nahi Hayaat 'Khumar';
    Aur Main Layak-e-Hayaat Nah!
    ~ Khumar Barabankvi
  • Phool The Baadal Bhi Tha Aur

    Phool The Baadal Bhi Tha Aur Vo Haseen Soorat Bhi Thi,
    Dil Mein Lekin Aur Hi Ek Shakal Kee Hasrat Bhi Thi;

    Jo Hawa Mein Ghar Banaye Kaash Koi Dekhta,
    Dasht Mein Rehte The Par Taameer Kee Aadat Bhi Thi;

    Keh Geya Main Samane Us Ke Jo Dil Ka Mudda,
    Kuch To Mausam Bhi Ajab Tha Kuch Meri Himmat Bhi Thi;

    Ajanabi Sheharon Mein Rehte Umr Saari Kat Gayi,
    Go Zara Se Fansale Par Ghar Kee Har Rahat Bhi Thi;

    Kya Qayamat Hai 'Munir' Ab Yaad Bhi Aate Nahi,
    Vo Purane Aashna Jin Se Humein Ulfat Bhi Thi!
    ~ Munir Niazi
  • Yun Hi Si Ek Baat Thi, Us Ka Malal Kya Karein,
    Meer-e-Kharaab Haal Sa Apna Bhi Haal, Kya Karein;

    Aisi Fiza Ke Qahar Mein Aisi Hawa Ke Zehar Mein,
    Zinda Hain Aise Shehar Mein Aur Kamaal Kya Karein;

    Aur Bahut See Ulajhane Tuk-o-Ras Se Badh Ke Hain,
    Zikr-e-Zamal Kya Kare, Fikr-e-Visaal Kya Karein;

    Dhoondh Liye Hain Charagar Humne Diyar-e-Gair Mein,
    Ghar Mein Hamara Kaun Hai, Ghar Ka Khyal Kya Karein;

    Chunte Hai Dil Kee Kirachiyan Bikhari Hain Jo Yahan-Vahan,
    Hona Tha Ek Din Yahi, Ranj-Maal Kya Karein;

    Uski Nazar Mein Qaid Hain Apni Tamaam Muntakin,
    Tek-e-Khyaal Kya Karein, Harf Kee Dhaal Kya Karein!
    ~ Aitbar Sajid
  • Koi Keh De

    Koi Keh De Mere Dil Ki Baat Unse;
    Har Taraf Se Hui Dil Ki Maat Unse;

    Jaan-Pehchan Hi Kara De Gar Koi;
    Ek-Ek Lamhe Ki Ho Shuruaat Unse;

    Log Puchte Hain Muskuraht Ki Wajah;
    Hamne Kaha Hui Hai Mulakat Unse;

    Khoya Hua Raha Main Aaz Talak;
    Ab Mila Do Mere Jazbaat Unse;

    Karenge Chand Se Kuchh Baatein Hum Bhi;
    Milte Hue Dekha Hai Har Raat Unse!
  • Rooh Pyaasi Kahan Se Aati Hai;
    Ye Udasi Kahan Se Aati Hail;

    Dil Hai Shab Do Ka To Ai Umeed;
    Tu Nidasi Kahan Se Aati Hai;

    Shauk Mein Aish-e-Vatl Ke Hangaam;
    Naashiphasi Kahan Se Aati Hai;

    Ek Zindaan-e-Bedili Aur Shaam;
    Ye Sabasi Kahan Se Aati Hai;

    Tu Hai Pehalu Mein Phir Teri Khushbu;
    Hoke Baasi Kahan Se Aati Hai!
    ~ Jon Elia
  • Nigahein Naaz Ne Parde Uthaye Hain Kya-Kya;
    Hijaab Ahle Mohabbat Ko Aaye Hain Kya-Kya;

    Jahaan Mein Thi Bas Ek Afwah Tere Jalwon Kee;
    Charag-e-Dair-o-Haram Jhilmilaein Hai Kya-Kya;

    Kahin Charag, Kahin Gul, Kahin Dil Barbaad;
    Kheramein Naaz Ne Kitne Uthaye Hain Kya-Kya;

    Payamein Husn, Payamein Junoon, Payamein Fana;
    Teri Nigah Ne Phasane Sunaye Hain Kya-Kya;

    'Firaq' Raahe Wafa Mein Sabak Ravi Teri;
    Bade Badon Ke Kadam Dagmagaein Hain Kya-Kya!
    ~ Firaq Gorakhpuri
  • Aur Bhi Ho Gaye Begana Wo Gaflat Karke;
    Aazamaya Jo Unhein Tark-e-Mohabbat Karke;

    Dil Ne Chhodaa Hai Na Chhode Tere Milne Ka Khayal;
    Baaraha Dekh Liya Humne Malamat Karke;

    Ruh Ne Payi Hai Takleef-e-Judai Se Nijaat;
    Aapki Yaad Ko Saramaya-e-Rahat Karke;

    Chhed Se Ab Wo Ye Kehte Hain Ki Sambhlo 'Hasarat';
    Sabr-o-Taab-e-Dil-Beemaar Ko Garat Karke!
    ~ Hasrat Mohani
  • Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha;
    Anjuman Anjuman Raha Tanha;

    Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se;
    Koi Guzra Hai Badha Tanha;

    Teri Aahat Kadam Kadam Aur Main;
    Is Maiyat Mein Bhi Raha Tanha;

    Kehana Yaadon Ke Barf-Zaaron Se;
    Ek Aansu Baha Baha Tanha;

    Doobte Sahilon Ke Mod Pe Dil;
    Ik Khandar Sa Raha Saha Tanha;

    Goonjta Reh Geya Khalaon Mein;
    Waqt Ka Ek Kehkaha Tanha!
    ~ Majeed Amjad
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT