Ghazal Shayari

  • Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
    Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;

    Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qaraar;
    Beqarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;

    Chashm-e-Qatil Meri Dushman Thi Hamesha Lekin;
    Jaise Ab Ho Gayi Qatil Kabhi Aisi To Na Thi;

    Un Kee Aankhon Ne Khudaa Jaane Kiya Kya Jadoo;
    Ki Tabiyat Meri Maail Kabhi Aisi To Na Thi;

    Aks-e-Rukh-e-Yaar Ne Kis Se Hai Tujhe Chamakaya;
    Taab Tujh Mein Maah-e-Kaamil Kabhi Aisi To Na Thi;

    Kya Sabab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
    Khoo Teri Hoor-e-Shamaail Kabhi Aisi To Na Thi!
    ~ Bahadur Shah Zafar
  • Koi Kaanta Chubha Nahi Hota;
    Dil Agar Phool Sa Nahi Hota;

    Kuch To Majabooriyan Rahi Hongi;
    Yun Koi Bewafa Nahi Hota;

    Guftagu Un Se Roz Hoti Hai;
    Muddaton Saamana Nahi Hota;

    Jee Bahut Chahta Sach Bole;
    Kya Karein Haunsala Nahi Hota;

    Raat Ka Intezar Kaun Kare;
    Aaj Kal Din Mein Kya Nahi Hota!
    ~ Bashir Badr
  • Taaron Se Mera Jaam Bharo Main Nashe Mein Hun;
    Ai Sakinaan-e-Khuld Suno Main Nashe Mein Hun;

    Kuch Phool Khil Rahe Hain Sar-e-Shakh-e-May-Kada;
    Tum Hi Zara Ye Phool Chuno Main Nashe Mein Hun;

    Thehro Abhi To Subah Ka Maara Hai Zau-Phishan;
    Dekho Mujhe Fareb Na Do Main Nashe Mein Hun;

    Nasha To Maut Hai Gham-e-Hasti Kee Dhoop Mein;
    Bikhara Ke Zulf Saath Chalo Main Nashe Mein Hun;

    Mela Yun Hi Rahe Ye Sar-e-Rahguzar-e-Zeest;
    Ab Jaam Saamne Hi Rakho Main Nashe Mein Hun;

    Payal Chanak Rahi Hai Nigaar-e-Khayal Kee;
    Kuch Ehatimaam-e-Raqs Karo Main Nashe Mein Hun;

    Main Dagmaga Raha Hun Bayabaan-e-Hosh Mein;
    Mere Abhi Kareeb Raho Main Nashe Mein Hun;

    Hai Sirf Ek Tabasum-e-Rangeen Bahut Mujhe;
    'Saghar' B-Dosh Lala-Rukhon Main Nashe Mein Hun!
    ~ Saghar Siddiqui
  • Kuch Fainsla To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye;
    Pani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye;

    Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo;
    Maqtal Mein Ab B-Tarz-E-Digar Jana Chahiye;

    Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Yeh Hai;
    Jaane Se Pehle Rakht-E-Safar Jana Chahiye;

    Sara Jvar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar;
    Ilzam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye;

    Jab Bhi Gaye Azaab-E-Dar-O-Baam Tha Wahi;
    Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye;

    Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le;
    Aise Sukhanfarosh Ko Mar Jana Chaahiye!
    ~ Parveen Shakir
  • Hum Ne Sab Sher Mein Sanware The;
    Hum Se Jitne Sukhan Tumhare The;

    Rang-o-Khusbhu Ke Husn-o-Khoobi Ke;
    Tum Se The Jitne Istiare The;

    Tere Kaul-o-Karar Se Pehle;
    Apne Kuch Aur Bhi Sahare The;

    Jab Wo Laal-o-Gohar Hisab Kiye;
    Jo Tere Gham Ne Dil Pe Vaare The;

    Mere Daaman Mein Aa Gire Saare;
    Jitne Tasht-E-Falak Mein Taare The;

    Umar-E-Jaaved Kee Dua Karte;
    'Faiz' Itne Wo Kab Hamare The!
    ~ Faiz Ahmad Faiz
  • Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai;
    Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai;

    Hai Zauq-e-Tajalli Bhi Isi Khaak Mein Pinhan;
    Gafil Tu Nira Sahib-e-Idraak Nahi Hai;

    Wo Aankh Ke Hai Surma-e-Afarng Se Roshan;
    Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai;

    Kya Sufi O Mulla Ko Khabar Mere Junoon Kee;
    Un Ka Sar-e-Daman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai;

    Kab Tak Rahe Mahkumi-e-Anjum Mein Meri Khaak;
    Ya Main Nahi Ya Gardish-e-Aflaak Nahi Hai;

    Bijli Hun Nazar Koh O Bayaban Pe Hai Meri;
    Mere Liye Shayaan Khas O Khaashak Nahi Hai;

    Aalam Hai Faqat Momin-e-Janbaz Kee Meeras;
    Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulak Nahi Hai!
    ~ Allama Iqbal
  • Tum Door Ho To Pyaar Ka Mausam Na Aayega;
    Ab Ke Baras Bahaar Ka Mausam Na Aayega;

    Chumunga Kis Kee Zulf Ghataon Ko Dekh Kar;
    Ik Jurm-e-Khush-Gawar Ka Mausam Na Aayega;

    Chalake Sharab Barq Gire Ya Jalein Charag;
    Zikr-e-Nigah-e-Yaar Ka Mausam Na Aayega;

    Vaada-Khilafiyon Ko Taras Jayega Yakeen;
    Raaton Ko Intezar Ka Mausam Na Aayega;

    Tujh Se Bichhad Ke Zindagi Ho Jayegi Taveel;
    Ehasas Ke Nikhar Ka Mausam Na Aayega!
    ~ Asad Bhopali
  • Vasl Kee Banti Hain In Baaton Se Tadbeerein Kahin;
    Aarzuon Se Phira Karti Hain Taqdeerein Kahin;

    Bezubani Tarjumane-Shauq-e-Behad Ho Na Ho;
    Varna Pesh-e-Yaar Kaam Aati Hain Taqreerein Kahin;

    Mit Rahi Hain Dil Se Yaadein Rozagar-e-Aish Kee;
    Ab Nazar Kaahe Ko Aayengi Ye Tasveerein Kahin;

    Iltifaat-e-Yaar Tha Ik Khwab-w-Aagaz-e-Wafa;
    Sach Hua Karti Hain In Khwabon Kee Tabeerein Kahin;

    Teri Besabri Hai 'Hasrat' Khaamkari Kee Daleel;
    Giriya-e-Ushaq Mein Hoti Hain Taseerein Kahin!
    ~ Hasrat Mohani
  • Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch;
    Har Waqt Mere Saath Hai Uljha Hua Sa Kuch;

    Hota Hai Yun Bhi Rasta Khulta Nahi Kahin;
    Jungle Sa Phail Jata Hai Khoya Hua Sa Kuch;

    Sahil Kee Geeli Ret Par Bachhon Ke Khel Sa;
    Har Lamha Mujh Mein Banta Bikharta Hua Sa Kuch;

    Fursat Ne Aaj Ghar Ko Sajaya Kuch Is Tarah;
    Har Shay Se Muskurata Hai Rota Hua Sa Kuch;

    Dhundhli Si Ek Yaad Kisi Qabar Ka Diya;
    Aur Mere Aas-Paas Chamakta Hua Sa Kuch!
    ~ Nida Fazli
  • Mehak Utha Hai Aangan Is Khabar Se;
    Wo Khushbu Laut Aayi Hai Safar Se;

    Judai Ne Use Dekha Sar-e-Baam;
    Dareech Par Shafaq Ke Rang Barse;

    Main Is Deewar Par Chadh To Geya Tha;
    Utare Kaun Ab Deewar Par Se;

    Gila Hai Ek Gali Se Shehar-e-Dil Kee;
    Main Ladta Phir Raha Hun Shehar Bhar Se;

    Use Dekhe Zamane Bhar Ka Ye Chaand;
    Hamari Chandni Chaye To Tarse;

    Mere Maanan Guzra Kar Meri Jaan;
    Kabhi Tu Khud Bhi Apni Rehguzar Se!
    ~ Jon Elia
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT