Jo Dil Par Bojh Hai Yarab Zara Bhi Kam Nahi Hota; Zamana Gham To Deta Hai Sharik-e-Gham Nahi Hota! |
Kisi Ke Jaal Mein Aa Kar Main Apna Dil Ganva Baitha; Mujhe Tha Ishq Qatil Se Main Apna Sar Kata Baitha! |
Sham-e-Gham Afsurda-o-Hairan The Hum; Log Samjhe Be-Sar-o-Saman The Hum! |
Kya Kya Hain Gile Us Ko Bata Kyon Nahi Deta; Taazir-e-Khata Mujh Ko Suna Kyon Nahi Deta! *Taazir-e-Khata: Punishment for mistake |
Hathiyar Haath Mein Liye Saans Roke Aankhein Khole; Shikar Ki Taak Mein Baitha Hun Main Chook Ki Koi Gunjaish Hi Nahi! |
Mumkin Nahin Hai Apne Ko Rusva Vafa Kare; Duniya-e-Be-Sabat Ki Khatir Dua Kare! |
Tu Ne Kyon Hum Se Tawaqqo Na Musafir Rakhi; Hum Ne To Jaan Bhi Tere Vaaste Hazir Rakhi! |
Achcha Hai Ki Laga Nahi Unhein Pyaar Ka Rog; Aate Aate Aayenge Raah Pe Agle Log! |
Main Na-Samajh To Nahi Ranjishon Se Laḍta Phirun; Main Rukh Badal Ke Mohabbat Ki Aad Leta Hun! |
Chhod Umeed Use Ab Nahi Aana Shayad; Aana Bhi Hai To Nahi Hum Ko Batana Shayad! |