Behtar Dinon Ki Aas Lagate Hue 'Habeeb'; Hum Behtarin Din Bhi Ganvate Chale Gaye! |
Le Chala Jaan Meri Rooth Ke Jana Tera; Aise Aane Se To Behtar Tha Na Aana Tera! |
Paane Ki Tarah Ka Na To Khone Ki Tarah Ka; Hona Bhi Yahan Par Hai Na Hone Ki Tarah Ka! |
Kitne Mah-o-Anjum Hain Ziya-Pash Azal Se; Lekin Na Hui Kam Dil-e-Insan Ki Siyahi! |
Jahan Saansein Nahi Chalti Vahan Kya Chal Raha Hai; Bahisht-e-Khak Mein Ai Raftagan Kya Chal Raha Hai! |
Aap Ko Ghair Se Ulfat Ho Gayi; Haan Jabhi To Mujh Se Nafrat Ho Gayi! |
Tumhare Khat Mein Naya Ik Salaam Kis Ka Tha; Na Tha Raqib To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha! |
Jo Dil Par Bojh Hai Yarab Zara Bhi Kam Nahi Hota; Zamana Gham To Deta Hai Sharik-e-Gham Nahi Hota! |
Kisi Ke Jaal Mein Aa Kar Main Apna Dil Ganva Baitha; Mujhe Tha Ishq Qatil Se Main Apna Sar Kata Baitha! |
Sham-e-Gham Afsurda-o-Hairan The Hum; Log Samjhe Be-Sar-o-Saman The Hum! |