Kuch Ajnabi Se Log The Kuch Ajnabi Se Hum; Duniya Mein Ho Na Paye Shanaasa Kisi Se Hum! * Shanaasa - Acquaintance |
Kyon Kisi Se Wafa Kare Koi; Dil Na Maane To Kya Kare Koi! |
Baaki Hai Ab Bhi Tark-e-Tamanna Ki Aarzoo; Kyunkar Kahun Ki Koi Tamanna Nahi Mujhe! |
Wo Kisi Aur Ka Hua Hai Aaj; Wo Jo Kal Tak To Sirf Mera Tha! |
Raat Ki Tirgi Sajayenge; Aansuon Ke Diye Jalayenge! |
Amir-e-Karvaan Hai Tang Hum Se; Hamara Raasta Sab Se Alag Hai! |
Meri Apni Aur Us Ki Aarzu Mein Farq Ye Tha; Mujhe Bas Woh Use Saara Zamana Chahiye Tha! |
Humne Kabhi Kisi Ko Aazmaya Nahi, Jitna Pyaar Diya Utna Kabhi Paya Nahi; Kisi Ko Hamari Bhi Kami Mehsoos Ho, Shayad Aisa Khuda Ne Humein Banaya Nahi! |
Tu Kaash Mile Mujh Ko Akeli To Bataun; Suljhe Meri Qismat Ki Paheli To Bataun! |
Bahar Bahar Sannata Hai Andar Andar Shor Bahut; Dil Ki Ghani Basti Mein Yaaro Aan Base Hain Chor Bahut! |