Jitni Tezi Se Aa Raha Tha Woh, Laut Kar Door Ja Raha Tha Woh; Sirf Rishte Ki Baat Par Yaaro, Umar Apni Chupa Raha Tha Woh! |
Kitni Lambi Khamoshi Se Guzra Hun; Un Se Kitna Kuch Kehne Ki Koshish Ki! |
Dil Se Agar Kabhi Tera Armaan Jayega, Ghar Ko Laga Ke Aag Ye Mehmaan Jayega; Sab Honge Us Se Apne Taaruf Ki Fikr Mein, Mujh Ko Mere Sukut Se Pehchan Jayega! |
Aankh Se Dil Mein Aane Wala, Dil Se Nahi Ab Jaane Wala; Ghar Ko Phoonk Ke Jaane Wala, Phir Ke Nahi Hai Aane Wala! |
Kirdar Dekhna Hai To Surat Na Dekhiye; Milta Nahi Zameen Ka Pata Aasman Se! |
Ghairon Se To Fursat Tumhein Din Raat Nahi Hai, Haan Mere Liye Waqt-e-Mulaqat Nahi Hai! |
Sula Kar Tez Dharon Ko Kinaro Tum Na So Jaana, Ravani Zindagani Hai To Dharo Tum Na So Jaana; Mujhe Tum Ko Sunani Hai Mukammal Dastan Apni, Adhuri Dastan Sun Kar Sitaro Tum Na So Jaana! |
Roya Karenge Aap Bhi Pehron Isi Tarah, Aatka Kahin Jo Aapka Dil Bhi Meri Tarah; Na Aap Hijar Mein Hain Na Aaram Vasal Mein, Kambakht Dil Ko Chain Nahi Hai Kisi Tarah! |
Apni Dhun Mein Rehta Hoon, Main Bhi Tere Jaisa Hoon; O Pichhle Rutt Ke Sathi, Ab Ke Baras Main Tanha Hoon! |
Na Pucha Mere Sabar Ki Inteha Kahan Tak Hai, Kar Le Tu Sitam, Teri Hasrat Jahan Tak Hai; Wafa Ki Umeed, Jinhe Hogi Unhe Hogi, Humein To Dekhna Hai Tu Bewafa Kahan Tak Hai! |