Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi, Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi; Le Gaya Chheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar, Be-Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi! |
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa, Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa; Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh, Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa! |
Is Shehar Ko Raas Aayi Hum Jaison Ki Gum-Nami; Hum Naam Batate To Ye Shehar Bhi Jal Jata! |
Hum Ne Kaanton Ko Bhi Narmi Se Chhua Hai Aksar; Log Bedard Hain Phulon Ko Masal Dete Hain! |
Hum Ne To Socha Bhi Nahin Tha Aisa Din Bhi Aayega; Apnon Ka Yun Rukh Badlega Sab Se Jee Bhar Jayega! |
Tere Vaadon Pe Kahan Tak Mera Dil Fareb Khaye; Koi Aisa Kar Bahana Meri Aas Toot Jaye! |
Main Bhi Gum-Sum Tha Koi Baat Na Karne Paaya; Us Ke Honthon Pe Bhi Jaise Koi Pahra Dekha! |
Tamaam Umar Mera Mujh Se Ikhtilaf Raha; Gila Na Kar Jo Kabhi Tera Hum-Nava Na Hua! *Ikhtilaaf: Difference, Discord |
Likhne Ko Likh Rahe Hain Ghazab Ki Kahaniyan; Likhi Na Ja Saki Magar Apni Hi Dastaan! |
Mere Liye Jeene Ka Sahara Hai Abhi Tak; Wo Ahd-e-Tamanna Ki Tumhein Yaad Na Hoga! *Ahd-e-Tamanna: Period, Time, Promise |