Behtar Dinon Ki Aas Lagate Hue 'Habib'; Hum Behtarin Din Bhi Ganwate Chale Gaye! |
Jaane Kyon Rooh Tan-Badan Mein Nahi; Aaj Main Apne Pairahan Mein Nahi! |
Kuch Taalluq Bhi Nahi Rasm-e-Jahan Se Aage; Us Se Rishta Bhi Raha Vahm-o-Guman Se Aage! |
Ishq Mein Yaar Agar Wafa Na Kare; Kya Kare Koi Aur Kya Na Kare! |
Gardish-e-Mah-o-Sal Se Aage Nikal Gaya Hun Main; Jaise Badal Gaye Ho Tum Jaise Badal Gaya Hun Main! * Gardish-e-Maah-o-Saal: A Movement of Months And Year |
Sukhan Ka Lehja Guman-Khane Mein Reh Gaya Hai; Mera Zamana Kisi Zamane Mein Reh Gaya Hai! Guman-Khane - Places Of Imagination |
Is Kadar Aap Ke Badle Hue Tevar Hain Ki Main; Apni Hi Cheez Uthate Hue Darr Jata Hun! |
Yaqeen Kaise Karen Vaade Pe Tere; Yahi Vaada Hai Jo Karte Sabhi Hain! |
Tumhein Ghairon Se Kab Fursat Hum Apne Gham Se Kam Khali; Chalo Bas Ho Chuka Milna Na Tum Khali Na Ham Khali! |
Khata Us Ki Maafi Se Badi Hai; Main Kya Karta Saza Deni Padi Hai! |