Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi; Yeh Dil Hai Ki Tere Baad Sambhalta Hi Nahi! |
Badi Ajeeb Mulaqatein Hoti Thi Hamari; Wo Matlab Se Milte The, Aur Humein Milne Se Matlab Tha! |
Kabhi Hon Mukhatib To Kahun Kya Dard Hai Mera; Ab Tum Door Se Puchoge To Khairiyat Hi Kahenge! |
Haath Ki Lakeerein Bhi Kitni Ajeeb Hain, Kambakht Mutthi Mein Hain Par Kabu Mein Nahi! |
Kuch To Aisa Hai Jo Wo Hum Se Nahi Kehte, Har Ek Baat Pe Jo Mujh Ko Sahi Kehte Hain! |
Berukhi Kis Shiddat Se Nibhai Jaati Hai Koi Unse Seekhe; Aankhein Khuli Rakhte Hain Aur Kehte Hain Hum Dikhte Hi Nahi! |
Koi Tabeez Aisa Do Ki Main Chalaak Ho Jaun; Bahut Nuksaan Deti Hai Mujhe Ye Sadgi Meri! |
Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke Liye; Rooth Kar Waqt Ganvane Ki Zaroorat Kya Hai! |
Itne Sawal The Mere Paas Ki Meri Umar Se Simat Na Sake, Jitne Jawaab The Tere Paas Sabhi Teri Ek Nigah Mein Aa Gaye! |
Kaash Wo Samjhte Is Dil Ki Tadap Ko Toh Humein Yun Ruswa Na Kiya Jata; Yeh Berukhi Bhi Unki Manzoor Thi Humein Bas Ek Baar Hamein Samajh Toh Liya Hota! |