Hamare Chale Jaane Ke Baad Yeh Samandar Ki Ret Bhi Tumse Pucha Karegi, Kahan Chala Geya Woh Shakhs Jo Tanhai Mein Aa Kar Bas Tumhara Hi Naam Likha Karta Tha |
Meri Chahat Ka Sar-e-Aam To Charcha Na Karo, Kam To Pehle Bhi Nahin Aur To Ruswa Na Karo! |
Dil Se Roye Magar Honthon Se Muskura Baithe, Yun Hi Hum Kisi Se Wafa Nibha Baithe, Wo Humein Ek Lamha Na De Paye Apne Pyaar Ka, Aur Hum Unke Liye Apni Zindagi Luta Baithe! |
Le De Ke Apne Paas Faqat Ek Nazar To Hai, Kyon Dekhe Zindagi Ko Kisi Kee Nazar Se Hum! |
Ishq Ka Batwara Razamandi Se Hua, Chamak Unhone Batori Tanhai Hum Le Aaye! |
Kitna Badlun Khud Ko Tere Liye, Kuch To Mere Andar Mera Rehne De! |
Laga Kar Aag Seeney Mein Chale Ho Tum Kahan; Abhi To Raakh Udne Do Tamasha Aur Bhi Hoga! |
Ab Kaun Se Mausam Se Koi Aas Lagaye; Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Un Ko Hum Aaye! |
Wo Mohabbat Bhi Teri Thi, Wo Nafrat Bhi Teri Thi; Wo Apnapan Aur Thukrane Ki Ada Bhi Teri Thi; Hum Apni Wafa Ka Insaf Kisse Maangte, Wo Shehar Bhi Tera Tha Aur Adalat Bhi Teri Thi! |
Tarsate The Jo Milne Ko Humse Kabhi, Aaj Wo Kyon Mere Saaye Se Katraate Hain; Hum Bhi Wahi Hain Dil Bhi Wahi Hai, Naa Jane Kyon Log Badal Jaate Hain! |