Guzar Geya Wo Waqt Jab Tere Talabgaar The Hum; Ab Khuda Bhi Ban Jao To Sajda Na Karenge! |
Kuch Is Tarah Se Guzari Hai Zindagi Jaise; Tamaam Umar Kisi Dusre Ke Ghar Mein Raha! |
Unse Milne Ko Jo Sochun Ab Wo Zamana Nahi; Ghar Bhi Kaise Jaun Ab To Koi Bahana Nahi; Mujhe Yaad Rakhna Kahin Tum Bhula Na Dena; Mana Ki Barson Se Teri Gali Me Aana Jana Nahi! |
Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle; Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle; Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha; To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle! |
Raat Der Tak Teri Dehleez Par Baithi Rahin Meri Aankhein; Khud Na Aana Tha To Koi Khwab Hi Bhej Diya Hota! |
Meri Bahaduri Ke Kisse Mashoor The Shehar Mein, Tujhe Kho Jaane Ke Darr Ne Mujhe Qayar Bana Diya! |
Ai Aasmaan Tere Khudaa Ka Nahi Hai Khauf; Darte Hain Ai Zameen Tere Aadmi Se Hum! |
Main Shikayat Kya Karun Ab, Yeh To Kismat Kee Baat Hai; Teri Soch Mein Bhi Main Nahi, Mujhe Lafz-Lafz Tu Yaad Hai! |
Na Gul Khile Hain Na Un Se Mile Na Mai Pee Hai; Ajeeb Rang Mein Ab Ke Bahaar Guzri Hai! |
Zindagi Yun Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke Liye; Rooth Kar Aise Yun Waqt Zaaya Na Kiya Karo! |