Aaine Mein Woh Dekh Rahe The Bahar-e-Husn; Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Rah Gaye! Hasrat Mohani |
Meri Aankhen Aur Deedar Aap Ka; Ya Qayamat Aa Gayi Ya Khwab Hai! |
Ab Aur Der Na Kar Hashr Barpa Karne Mein; Meri Nazar Tere Deedar Ko Tarasti Hai! |
Jab Tere Nain Muskurate Hain; Zeest Ke Ranj Bhool Jate Hain! |
Kaun Sa Zakhm Tha Jo Taaza Na Tha, Itna Gham Milega Andaza Na Tha; Aap Ki Jheel Si Aankhon Ka Kya Kasoor, Doobne Wale Ko Hi Gehrai Ka Andaza Na Tha! |
Har Ek Aankh Mein Hoti Hai Muntazir Koi Aankh; Har Ek Dil Mein Kahin Kuch Jagah Nikalti Hai! |
Bahut Mushkil Hai Duniya Ka Sanwarna; Teri Zulfon Ka Pech-o-Kham Nahi Hai! *Pech-o-Kham:Curves |
Nazuki Us Ke Lab Ki Kya Kahiye; Pankhudi Ik Gulab Ki Si Hai! |
Khamosh Chehron Par Hazaron Pehre Hote Hain, Hansti Aankhon Mein Bhi Zakham Gehre Hote Hain; Jinse Aksar Rooth Jate Hain Hum, Unse Hi Rishte Zyada Gehre Hote Hain! |
Saari Duniya Se Be-Niyazi Hai; Wah Ai Mast-e-Naaz Kya Kehna! |