Uthhti Nahi Hai Aankh Kisi Aur Ki Taraf, Paband Kar Gayi Hai Kisi Ki Nazar Mujhe; Imaan Ki Toh Ye Hai Ke Imaan Ab Kahan, Kafir Banaa Gayi Teri Kafir Nazar Mujhe! |
Ishq Ke Phool Khilte Hain Teri Khoobsurat Aankhon Mein; Jahan Dekhe Tu Ek Nazar Wahan Khushboo Bikhar Jaaye! |
Ishq Hara Hai Toh Dil Thaam Ke Kyon Baithe Ho; Tum Toh Har Baat Par Kehte The Koi Baat Nahi! |
Bahut Ajeeb Hain Bandishe Mohabbat Ki; Na Usne Qaid Mein Rakha Na Hum Faraar Hue! |
Tere Khamosh Hothon Par Mohabbat Gun-Gunati Hai; Tu Meri Hai Main Tera Hun, Bas Ye Hi Awaaz Aati Hai! |
Mere Nazdeek Aa Ke Dekh, Mere Ehsaas Ki Shiddat; Mera Dil Kitna Dhadakta Hai Tere Naam Ke Saath! |
Qareeb Aa Zara Ke Jeena Mushkil Hai Tere Bin, Dil Ko Tujh Se Nahi Teri Har Ada Se Mohabbat Hai! |
Ye Ishq Bhi Nasha-E-Sharab Jaisa Hai; Karen To Mar Jayen, Chodden To Kidhar Jayen! |
Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hai, Abhi Ishq Ke Imtehaan Aur Bhi Hain! |
Woh Bhi Khushboo Si Thi, Tum Bhi Khushboo Se Ho, Farak Sirf Itna Hai, Woh Phool Ki Thi, Tum Ittar Ki Ho! |