Yun Nazar Ki Baat Aur Dil Chura Gaye, Andhero Ke Saaye Mein Dhadkan Suna Gaye; Hum Toh Samjhe The 'Ajnabi' Aapko, Aap Toh Humein Apna Bana Gaye! |
Ek Se Ek Junoon Ka Mara Is Basti Mein Rehta Hai; Ek Hum Hi Hoshiyar The Yaaro Ek Hum Hi Badnaam Hue! |
Kuch Din Se Usko Bhi Hamari Aadat Ho Gayi Shayad; Shararat Karte-Karte Unko Bhi Mohabbat Ho Gayi! |
Tujhe Mila Nahi Humsa Koi, Humein Mila Nahi Tujhsa Koi; Ye To Kismat Ki Baat Hai, Ki Hamari Nazar Mein Is Kadar Basa Nahi Koi! |
Girte Rahe Hum Sajdo Mein Hasrat-e-Ishq Ki Khaatir; Agar Ibadat-e-Khuda Mein Gire Hote Toh Zindgi Jannat Ban Jati! |
Bharosa, Dua, Wafa, Khawab, Maan, Mohabbat; Kitne Naamon Mein Simte Ho Sirf Ek Tum! |
Jinki Shayari Mein Hoti Hain Siskiyan Aksar, Woh Shayar Nahi Kisi Bewafa Ke Deewane Hote Hain! |
Do Hi Gawah The Meri Mohabbat Ke, Waqt Aur Woh; Ek Guzar Gaya, Doosra Mukar Gaya! |
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye; Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye! |
Anokhi Wazah Hai Saare Zamane Se Nirale Hain, Yeh Aashiq Kaun Si Basti Ke Ai Rabb Rehne Wale Hain! |