Ishq Par Zor Nahi Hai Yeh Woh Aatish 'Ghalib'; Ki Lagaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bujhe! |
Tum Agar Yaad Rakhoge Toh Inayat Hogi, Varna Humko Kahan Tum Se Shikayat Hogi; Yeh Toh Wahi Bewafa Logon Ki Duniya Hai, Tum Agar Bhool Bhi Jaao Toh Riwayat Hogi! |
Na Bhookh Hai Mujhe Na Daulat Ki Pyaas Baki Hai, Milti Rahe Har Kisi Se Mohabbat Bas Yehi Kaafi Hai! |
Chaahat Ke Yeh Kaise Afsane Hue, Khud Nazron Mein Apni Begaane Hue; Kisi Bhi Rishte Ka Khayaal Nahi Mujhe, Ishq Mein Tere Iss Qadar Deewane Hue! |
Kyon Na Gurur Karun Khud Par; Mujhe Usne Chaha, Jisko Chahne Wale Hazaar The! |
Mohabbat Mein Kya-Kya Muqaam Aa Rahe Hain; Ki Manzil Pe Hain Aur Chale Jaa Rahe Hain! |
Mohabbat Ki Baaten Na Bhooli Bhulaye; Bahut Der Roye Jo Tum Yaad Aaye! |
Mohabbat Mein Nahi Hai Farq Jeene Aur Marne Ka; Usi Ko Dekh Kar Jeete Hain Jis Kafir Pe Dum Nikle! Farq: Difference Kafir: Infedel |
Meherbani Ko Mohabbat Nahi Kehte Aye Dost; Aah Ab Mujh Se Teri Ranjish-e-Be-Ja Bhi Nahi! Meherbani: Mercy Ranjish-e-Be-Ja: Anger Which Is Uncalled For |
Mohabbat Ke Liye Kuch Khaas Dil Makhsoos Hote Hain; Yeh Woh Nagma Hai Jo Har Saaz Par Gaaya Nahi Jaata! Makhsoos: Reserved, Special Nagma: Song |