Raaz Dil Ka Dil Mein Chupate Hain Woh; Samne Aate Hi Nazar Jhukate Hain Woh; Baat Karte Nahi, Ya Hoti Nahi; Par Shukar Hai Jab Bhi Milte Hain Muskurate Hain Woh! |
Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe; Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe; Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai; Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe! |
Lafzon Mein Kaise Tareef Karun, Lafzon Mein Aap Kaise Sama Paoge; Jab Bhi Puchenge Kabhi Log Aapke Baare Mein; Hamari Aakhein Dekh Kar Wo Sab Jaan Jayenge! |
Ye Husn-e-Raaz Mohabbat Chupa Raha Hai Koi; Hai Ashk Aankhon Mein Aur Muskura Raha Hai Koi; Nazar Nazar Mein Tajalli Dikha Raha Hai Koi; Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi! |
Na Aana Usse Le Kar Mere Janaze Mein, Meri Mohabbat Ki Tauhin Hogi; Main Chaar Logon Ke Kandhe Pe Hounga, Aur Meri Jaan Peeche Paidal Hogi |
Kisi Ko Pyaar Itna Dena Ki Koi Had Na Rahe; Magar Aitbaar Bhi Itna Rakhna Ki Koi Shak Na Rahe; Wafa Itni Karna Ki Bewafai Na Ho; Aur Dua Bas Itni Karna Ki Kabhi Judai Na Ho! |
Tanhaiyon Mein Muskurana Ishq Hai; Kisi Baat Ko Sab Se Chupana Ishq Hai; Yun To Neend Nahi Aati Humein Raat - Raat Bhar; Magar Sote - Sote Jagna Aur Phir Jaagte - Jaagte Sona Hi Ishq Hai! |
Aapka Intezar Humein Har Pal Rehta Hai; Har Lamha Humein Aapka Ehsas Rehta Hai; Aap Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain; Kyonki Aap Hamare Dil Mein Hamari Dhadkan Banke Rehte Ho! |
Mohabbat Aankhon Se Nikle Ashkon Ko Moti Bana Deti Hai; Mohabbat Gehre Zakhmon Par Bhi Marham Laga Deti Hai; Jab Jeene Kee Koi Bhi Wajah Hi Na Bachi Ho; Tab Mohabbat Maut Ko Bhi Zindagi Bana Deti Hai! |
Koi Na Mita Sakega Dil Ke Iss Fasane Ko; Teri Chahat Mein Bhool Jata Hun Zamane Ko; Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye; Teri Deewangi Mein Bhool Jaate Hain Nazrein Jhapkane Ko! |