Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se To Ye Mushkil Kya Hai; Tum Mere Dil Mein Raho Dil Kee Tamanna Ho Kar! |
Tere Pyaar Mein Do Pal Kee Zindagi Bahut Hai; Ek Pal Kee Hansi Aur Ek Pal Kee Khushi Bahut Hai; Ye Duniya Mujhe Jaane Ya Na Jaane; Teri Aankhein Mujhe Pehchane Yahi Bahut Hai! |
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin'; Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain! |
Log Samajthe Hain Ki Humne Tumhein Bhula Rakha Hai; Ye Nahi Jaante Ki Kahin Dil Mein Chupa Rakha Hai; Dekh Na Le Koi Meri Aankhon Mein Tasvir Tumhari; Humne Apni Palkon Ko Is Kadar Jhuka Rakha Hai! |
Har Khushi Se Khoobsurat Aapki Har Sham Kar Dun; Apna Pyaar Aur Dosti Aapke Naam Kar Dun; Mil Jaye Agar Dobara Ye Zindagi; To Har Baar Ye Zindagi Aapke Naam Kar Dun! |
Uski Nazar Ko Fursat Hi Na Mili Hogi; Varna Mera Marz Itna La-Ilaaj To Na Tha; Humne To Wahan Bhi Mohabbat Hi Kee; Jahan Mohabbat Ka Koi Riwaaz Na Tha! |
Sehmi Si Nigahon Mein Khawab Hum Jaga Denge, Sooni Si Rahon Mein Phool Hum Bicha Denge; Hamare Sang Muskura Kar To Dekhiye; Har Gham Aapka Hum Bhula Denge! |
Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai; Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai; Hum Hain Mushtaaq Aur Wo Bezaar; Ya Ilaahi Yeh Maajra Kya Hai! Translation: Oh errant heart, what has transpired now, Finally, what is the cure for this ache, I desrie, the Other is indifferent, Ah God, what is this performance. |
Sirf Nazdeekiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti; Fansle Jo Dilon Mein Ho To Fir Chahat Hua Nahi Karti; Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse; Khamosh Rehne Se Dilon Kee Dooriyan Mita Nahi Karti! |
Unhe Ye Shikayat Hai Humse Ki; Hum Har Kisi Ko Dekh Kar Muskurate Hain; Na-Samajh Hain Wo Ki Kya Jaane; Humein To Har Chehre Mein Wahi Nazar Aate Hain! |