Sar Jhukane Ki Aadat Nahi Hai; Aansu Bahane Ki Aadat Nahi Hai; Hum Kho Gaye To Pachtaoge Bahut; Kyon Ki Humein Laut Ke Aane Ki Aadat Nahi Hai! |
Bin Baat Ke Hi Roothne Ki Aadat Hai; Kisi Apne Ka Saath Paane Ki Chahat Hai; Aap Khush Rahe, Mera Kya Hai; Main To Aaina Hun, Mujhe Tootne Ki Aadat Hai! |
Tu Bhi Tasveer Ke Manind Chup Rehti Hai; Meri Khamoshi Teri Tarah Kuch Kehti Hai! |
Hamari Khoj Mein Rehti Thi Titliyaan Aksar; Ki Apne Shehar Ka Husn-O-Jamaal The Hum Bhi! |
Bas Gayi Hai Yeh Mere Ehsaas Mein Kaisi Mehak; Koi Bhi Khushboo Main Lagaoon Toh Teri Khushboo Hi Aaye! |
Yaad Karte Hain Tumhein Tanhai Mein; Dil Dooba Hai Ghamoon Ki Gehrai Mein; Humein Mat Dhundna Duniya Ki Bheed Mein; Hum Milenge Tumhein Tumhari Hi Parchai Mein! |
Naa Jaane Kis Hunar Ko Shayari Kehte Ho Tum; Hum To Woh Likhte Hain Jo Tumse Keh Nahi Paate! |
Main Bikhar Jayunga Aanson Ki Tarah; Is Kadar Pyar Ke Baad Duayein Na De! |
Milti Nahi Fursat Yaadon Se Uski, Rehta Hoon Masroof Baaton Mein Uski; Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Main Basti Hai Jaan Uski! |
Ghazal Uss Ne Chhedi Mujhe Saaz Dena; Zara Umar-e-Rafta Ko Awaaz Dena! |