Sham Ka Parda Sarak Geya, Ab Shab Se Rubaru Ho Ja; Kuch Apne Fasane Kehta Chal, Kuch Mere Tarane Sunta Ja! |
Barbaad Kar Gaye Wo Zindagi Pyaar Ke Naam Se; Bewafai Hi Mili Sirf Wafa Ke Naam Se; Zakham Hi Zakham Diye Uss Ne Dawa Ke Naam Se; Aasman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se! |
Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |
Kabhi Yeh Dua Ki Usse Mile Jahaan Ki Khushiyan; Kabhi Ye Khauf Ki Wo Khush Mere Bagair Toh Nahi! |
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin'; Teri Aankhein Mere Khwabon Se Kitni Milti Julti Hain! |
Dil Pe Aaye Hue Ilzam Se Pehchante Hain; Log Ab Mujhko Tere Naam Se Pehchante Hain! |
Agar Tu Wajah Na Puche To Ek Baat Kahun; Bin Tere Ab Humse Bhi Jiya Nahi Jata! |
Ajab Shikwa Sa Rehta Hai, Tumhein Mujh Se Mujhe Tum Se; Tumhein Ulfat Nahi Mujh Se, Mujhe Nafrat Nahi Tum Se! |
Is Kadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai; Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Daalein Tum Ko! |
Yun Toh Bhule Hain Humein Log Kai Pehle Bhi Bahut Se; Par Tum Jitna Koi Un Mein Se Kabhi Yaad Nahi Aaya! |