Milna Tha Ittefaq Bichhadna Naseeb Tha; Wo Utni Door Ho Geya Jitna Qareeb Tha! |
Mere Khwabon Se Ojhal Us Ka Chehra Ho Gaya Hai; Main Aisa Chahta Kab Tha Par Aisa Ho Gaya Hai! |
Dil Abaad Kahan Reh Paaye Us Ki Yaad Bhula Dene Se; Kamra Veeran Ho Jata Hai Ik Tasveer Hata Dene Se! |
Ab Ke Hum Bichhade Toh Shayad Kabhi Khwabon Mein Milen; Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitabon Mein Milen! |
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaayega; Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaayega! |
Waqt Ki Dhundh Mein Chupp Jaate Hain Talluk; Bahut Dino Tak Kisi Ki Aankhon Se Ojhal Na Rahiye! |
Kis Kis Ko Batayenge Judai Ka Sabab Hum; Tu Mujhse Khafa Hai To Zamane Ke Liye Aa! |
Ek Tum Hi The Jiske Dum Pe Chalti Thi Saanse Meri; Laut Aao Ki Zindagi Se Ab Wafa Nibhayi Nahi Jaati! |
Kuch To Tanhai Ki Raaton Mein Sahara Hota; Tum Na Hote Na Sahi... Zikar Tumhara Hota! |
Socha Tha Us Se Bichadein Ge To Mar Jayn Ge; Jaan Lewa Khauf Tha Bas, Hua Kuch Bhi Nahi! |