Jane Kitni Umeedein Thi Tujhko Meri Yaadon Se; Ki Jab Bhi Aayengi Haal Suna Jaya Karengi; Hum Bhi Tere Liye Ek Khilona Bhar The; Ki Yaadein Aayengi Aur Dil Behla Jaya Karengi! |
Yeh Hum Bhi Ganwara Karte Hain, Yeh Tum Bhi Ganwara Kar Lena; Ro Ro Ke Guzari Hain Humne Raatein, Tum Hans Ke Guzara Kar Lena; Betabi Hadh Se Badh Jaye Aur Neend Raaton Ko Aa Jaye; To Doob Ke Meri Yaadon Mein Tum Duniya Se Kinara Kar Lena! |
Khata Ho Jaati Hai Jazbaat Ke Saath; Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Baat Ke Saath; Khata Kuchh Bhi Nahi, Mahaz Pyaar Kiya Hai; Unka Pyaar Yaad Aata Hai, Har Alfaaz Ke Saath! |
Koshish Karun Ga Usko Bhulane Kee Umar Bhar; Aaye Gi Uski Yaad Magar Umar Bhar Mujhe! |
Barsat Kee Bheegi Raaton Mein Phir Koi Suhani Yaad Aayi; Kuch Apna Zamana Yaad Aaya Kuch Unki Jawani Yaad Aayi; Hum Bhool Chuke The Jisne Humein Duniya Mein Akela Chora Tha; Jab Gaur Kiya To Ek Surat Jaani Pehchani Si Yaad Aayi! |
Khoobsurat Hai Zindagi Ek Khawab Kee Tarha; Jaane Kab Toot Jaye Kaanch Kee Tarha; Mujhe Na Bhoolna Kisi Baat Kee Tarha; Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Kee Tarha! |
Kya Wajha Hai Mere Darne Kee; Ab To Khwaish Hai Unki Yaadon Mein Marne Kee; Na Jane Unhein Kyon Itna Yaad Karta Hai Dil; Jinhe Fursat Hi Nahi Hai Humein Yaad Karne Kee! |
Phir Chupke Se Yaad Aa Geya Koi; Meri Aankhon Ko Phir Rula Geya Koi; Kaise Uska Shukriya Karun Ada; Jo Mujh Na-Chiz Ko Shayar Bana Geya Koi! |
Subah Phuti To Wo Pehlu Se Utha Aakhir-e-Shab; Wo Jo Ik Umr Se Aaya Na Geya Aakhir-e-Shab; Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula Aakhir-e-Shab! |
Jab Raat Kee Tanhayi Dil Ban Ke Dhadakti Hai; Yaadon Ke Jharokhon Mein Chilman Si Sirakti Hai; Lobaan Mein Chingari Jaise Koi Rakh Jaye; Yun Yaad Teri Shab Bhar Seene Mein Sulagti Hai! |