Aaj Bhi Kayi Sawal Hain Iss Dil Mein; Pyaar Ka Gham Bezuban Hai Iss Dil Mein; Kuch Keh Nahi Paata Ye Dil Magar; Uss Dil Ke Liye Aaj Bhi Pyaar Hai Iss Dil Mein! |
Jo Beet Geya Use Bhool Ja Ai Dil; Jo Guzar Geya Waqt Woh Kabhi Na Aayega; Pal Do Pal Ka Saath De Kar Saathi Chala Geya; Uski Yaad Mein Jal Kar Tu Aur Bhi Pachtayega! |
Tum Se Kab Humne Mulaqat Ka Vaada Chaha; Door Reh Kar Tujhe Kuch Aur Bhi Jyada Chaha; Yaad Aayi Hai Teri Aur Bhi Shiddat Se Humein; Bhool Jaane Ka Tujhe Jab Bhi Iraada Chaha! |
Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun; Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun; Inhi Raahon Se Aayenge, Bhale Hee, Baad Mere Marne Ke; Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun! |
Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain Raahein; Tumhe Dekhne Ko Taras Jati Hain Nigahein; Bekhudi Ka Ab Yeh Aalam Hai Kaisa; Tumhe Yaad Karke Nikal Jati Hain Aahein! |
Zindagi Ke Har Lamhon Mein Unhi Ko Paate Hain; Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhulate Hain; Jane Kya Baat Hai Unme Ai Khuda; Jitna Bhulate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain! |
Yaad Aane Wale Yaad Aaye Ja Rahe Hain; Mere Khyalon Kee Duniya Par Chaye Ja Rahe Hain; Hum Kuch Keh Rahe Hain Par Wo Chup Hain; Bas Mera Khat Padh Kar Muskuraye Ja Rahe Hain! |
Bheegi Palkon Ke Sang Muskurate Hain Hum; Pal Pal Dil Ko Kuch Aur Behlate Hain Hum; Tu Door Hai Humse To Kya Hua Mere Dilbar; Har Saans Mein Teri Aahat Paate Hain Hum! |
Tasveer Mein Khayaal Hona To Lazmi Saa Hai; Magar Ek Tasveer Hai Jo Khayaalon Mein Bani Hai! |
Yaad Teri, Bas Baat Teri, Fariyad Teri; Ya Rabb Mujhe Kaam Koi To Aur Bhi Ho! |