Kya Ghazab Hai Zindagi Ki Daud Mein; Rahzan Aage Badha Rahbar Gira! |
Ai 'Saadat' Jo Nasihat Karte Ho Auron Ko Tum; Is Nasihat Ko Kabhi Apni Bhi Babat Dekhna! |
Itni Mushkil Mein Bhi Ahbab Na Daalen Mujh Ko; Ki Sambhalna Bhi Na Chahun To Sambhalen Mujh Ko! |
Zindagi Ko Jeena Hai To Pareshani To Hogi Hi; Varna Marne Ke Baad To Dard Ka Bhi Ehsas Nahi Hota! |
Hathon Ki Lakeeron Pe Mat Ja Ai Ghalib; Naseeb Unke Bhi Hote Hain Jinke Haath Nahi Hote! |
Hayat Le Ke Chalo Qayaenat Le Ke Chalo; Chalo To Saare Zamane Ko Saath Le Ke Chalo! |
Zindagi Kya Hai Aaj Ise Ai Dost; Soch Len Aur Udaas Ho Jayein! |
Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain; Tujhe Ai Zindagi Hum Duur Se Pahchan Lete Hain! |
Is Zindagi Mein Itni Faraghat Kise Naseeb; Itna Na Yaad Aa Ki Tujhe Bhool Jayein Hum! * Faraghat - Cessation from labour, Interval, Time for rest, Comfort |
Zindagi Hai Ya Koi Toofan Hai; Hum To Is Jeene Ke Haathon Mar Chale! |