Kaanton Se Dil Lagao Jo Ta-Umar Saath Den; Phoolon Ka Kya Jo Saans Ki Garmi Na Sah Saken! |
Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai; Do Zehar Ke Pyalon Mein Qaza Khel Rahi Hai! |
Jawani Ho Gar Jawedaani To Ya Rabb; Teri Sadaa Duniya Ko Jannat Bana Den! Jawedaani: Immortal Jannat: Heaven |
Kaam Aa Sakin Na Apni Wafayein To Kya Karen, Us Bewafa Ko Bhool Na Jayein To Kya Karen! |
Mitt Chale Meri Umeedon Kee Tarah Harf Magar; Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushbu Na Gayi! |
Chaman Mein Rehne Walon Se To Hum Sahra-Nashin Achhhe; Bahaar Aa Ke Chali Jati Hai Veerani Nahi Jaati! Meaning: Sahra-Nashin = Inhabitant of Desert |
Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Yeh Pyaare Aansoon; Meri Ankhoon Mein Na Aa Jae Tumhare Aansoon! |
Ji Chaahta Hai Ik Doosre Ko Yun Aath Pehar Hum Yaad Karen; Ankhon Mein Basaaen Khwaabon Ko Aur Dil Ko Khayal Aabad Karen; Khilwat Mein Bhi Ho Jalwat Ka Saman, Wahdat Ko Dooi Se Shhad Karen; Yeh Aarzooen Eejad Na Kar, Ai Ishq Hamein Barbaad Na Kar! |