Kaanton Se Dil Lagao Jo Ta-Umar Saath Den; Phoolon Ka Kya Jo Saans Ki Garmi Na Sah Saken! |
Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai; Do Zehar Ke Pyalon Mein Qaza Khel Rahi Hai! |
Jawani Ho Gar Jawedaani To Ya Rabb; Teri Sadaa Duniya Ko Jannat Bana Den! Jawedaani: Immortal Jannat: Heaven |
Kaam Aa Sakin Na Apni Wafayein To Kya Karen, Us Bewafa Ko Bhool Na Jayein To Kya Karen! |
Aao Be-Parda Tumhein Jalwa-e-Pinhan Kee Kasam; Hum Na Chedenge Humein Zulf-e-Pareshan Ki Kasam! |
Mitt Chale Meri Umeedon Kee Tarah Harf Magar; Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushbu Na Gayi! |
Chaman Mein Rehne Walon Se To Hum Sahra-Nashin Achhhe; Bahaar Aa Ke Chali Jati Hai Veerani Nahi Jaati! Meaning: Sahra-Nashin = Inhabitant of Desert |
Dil Mein Khayal-e-Nargis Dil Mein Khayal-e-Nargis-e-Janana Aa Geya; Phulon Se Khelta Hua Deewana Aa Geya; Badal Ke Uthte Hi Mai-o-Paimana Aa Geya; Bijli Ke Saath Saath Pari-Khaana Aa Geya; Maston Ne Iss Ada Se Kiya Raqs-e-Nau-Bahar; Paimana Kyaa Ki Vajd Mein Maikhana Aa Geya; Uss Chashm-e-Mai-Farosh Kee Tasir Kya Kahun; Honthon Tak Aaj Aap Hi Paimana Aa Geya; Malum Kis Ko Qais Kee Deewangi Kee Shaan; Hungama Sa Bapaa Hai Ki Deewana Aa Geya; Akhtar Gazab Thi Ahd-e-Jawani Kee Daastan; Aankhon Ke Aage Ek Pari-Khaana Aa Geya! |
Mohabbat Kii Duniyaa Mein Mohabbat Kii Duniyaa Mein Mashhuur Kar Duun; Mere Saada Dil Tujh Ko Maghruur Kar Duun; Tere Dil Ko Milne Kii Khud Aarzuu Ho; Tujhe Is Qadar Gham Se Ranjuur Kar Duun; Mujhe Zindagii Duur Rakhti Hai Tujh Se; Jo Tuu Pass Ho To Use Duur Kaar Duun; Mohabbat Ke Iqraara Se Sharm Kab Tak; Kabhii Saamnaa Ho To Majbuur Kar Duun; Ye Be Rangiyaan Kab Tak E Husn-E-Rangiin; Idhar Aa, Tujhe Ishq Men Chuur Kar Duun; Tuu Gar Saamne Ho To Main Bekhudii Men; Sitaaron Ko Sajde Pe Majbuur Kar Duun; Nahiin Zindagii Ko Vaffa Varnaa Akhtar; Mohabbat Se Duniyaa Ko Maamuur Kar Duun! Translation: Maghroor = Arrogant |
Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Yeh Pyaare Aansoon; Meri Ankhoon Mein Na Aa Jae Tumhare Aansoon! |