Kam Na Thi Ye Aalam-e-Hasti Kisi Surat Magar; Wusatein Dil Ki Badhi Itni Ki Zinda Ho Gayi! |
Inhi Mein Khinchkar Rooh-e-Mohabbat Maine Bhare Hain; Mera Ashyaar Dekhenge Mera Dil Dekhne Waale! |
Kuch Khatakta Toh Hai Pehlu Mein Mire Reh-Reh Kar; Ab Khuda Jaane Tiri Yaad Hai Ya Dil Mera! |
Kamaal-e-Tishanagi Hi Se Bujha Lete Hain Pyaas Apni; Isi Tapte Hue Sahara Ko Hum Dariya Samjhte Hain! |
Dil Geya Raunaq-e-Hayat Gayi; Gham Geya Saari Qaaynaat Gayi! |
Betabiyaan Samet Ke Saare Jahaan Ki, Jab Kuch Na Ban Saka Toh Mera Dil Bana Diya! |
Betabiyaan Samet Ke Saare Jahaan Ki; Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya! |
Humne Seene Se Lagaya, Dil Na Apna Ban Saka; Muskura Kar Tum Ne Dekha, Dil Tumhara Ho Geya! |
Laakhon Mein Intikhaab Ke Qaabil Bana Diya; Jis Dil Ko Tumne Dekh Liya Dil Bana Diya! |
Hum Ne Seene Se Lagaaya Dil Na Apna Ban Saka; Muskura Kar Tum Ne Dekha Dil Tumhaara Ho Gaya! |