Meri Nigah-E-Shauq Bhi Kuch Kam Nahi Magar, Phir Bhi Tera Shabab Tera Hi Shabab Hai! |
Pehle Sharaab Zeesat Thi Ab Zeesat Hai Sharaab; Koi Pila Raha Hai Piye Ja Raha Hun Main! |
Ik Lafz-e-Mohabbat Ka Adnaa Ye Fasana Hai, Simte To Dil-e-Aashiq Phaile To Zamaana Hai! |
Hum Ishq Ke Maaron Ka Itna Hi Fasaana Hai; Rone Ko Nahi Koi Hansne Ko Zamana Hai! |
Aadat Ke Baad Dard Bhi Dene Laga Maza; Hans Hans Ke Aah Aah Kiye Ja Raha Hun Main! |
Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar; Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe! |
Tasveer Ke Do Rukh Hain Jaan Aur Gham-e-Jaana; Ik Naqsh Chupana Hai Ik Naqsh Dikhana Hai! |
Barabar Se Bach Kar Guzar Jaane Wale; Yeh Naale Nahi Be-Asar Jaane Wale; Nahi Jaante Kuch Ki Jaana Kahan Hai; Chale Ja Rahe Hain Magar Jaane Wale! |
Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Samaa Kar Chale Gaye; Khwabida Zindagi Thi Jagaa Kar Chale Gaye; Chehre Tak Aasteen Wo Lakar Chale Gaye; Kya Raaz Tha Ki Jis Ko Chipakar Chale Gaye! Meaning: Khwabida = Sleepy |
Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar; Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe! |