Phoonk Daalunga Kisi Roz Main Dil Ki Duniya, Ye Tera Khat To Nahi Hai Ki Jalaa Bhi Na Sakoon! |
Collage Ke Sab Bachhe Chup Hain Kaghaz Ki Ik Naav Liye; Charon Taraf Dariya Ki Surat Phaili Hui Bekari Hai! |
Log Har Mod Pe Ruk-Ruk Ke Sambhalte Kyon Hain, Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalate Kyon Hain; Main Na Jugnu Hun Na Diya Hun Na Koi Tara Hun, Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hain! |
Beemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahiye; Main Peeta Hun Pila Deni Chahiye! |
Shakhon Se Toot Jayein Woh Patte Nahi Hain Hum; Aandhi Se Koi Keh De Ki Auqat Mein Rahe! |
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaye; Dushmanon Ki Bhi Raai Li Jaaye! |
Suraj, Sitaare, Chaand Mere Saath Mein Rahe; Jab Tak Tumhare Haath Mere Haath Mein Rahe; Shaakhaon Se Toot Jaaye Wo Patte Nahi Hain Hum; Aandhi Se Koi Keh De Ki Aukaat Mein Rahe! |
Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho; Ye Zindagi To Hai Rahmat Ise Saza Na Kaho; Na Jaane Kaun Si Mazburion Ka Qaidi Ho; Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho! |
Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate; Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate; Ab To Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai; Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate! |
Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage; Chirag Haath Utha Kar Duayein Karne Lage; Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar; Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage! |