Phoonk Daalunga Kisi Roz Main Dil Ki Duniya, Ye Tera Khat To Nahi Hai Ki Jalaa Bhi Na Sakoon! |
Collage Ke Sab Bachhe Chup Hain Kaghaz Ki Ik Naav Liye; Charon Taraf Dariya Ki Surat Phaili Hui Bekari Hai! |
Log Har Mod Pe Ruk-Ruk Ke Sambhalte Kyon Hain, Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalate Kyon Hain; Main Na Jugnu Hun Na Diya Hun Na Koi Tara Hun, Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hain! |
Beemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahiye; Main Peeta Hun Pila Deni Chahiye! |
Dilon Mein Aag: Dilon Mein Aag Labon Pe Gulaab Rakhte Hain, Sab Apne Chehron Pe Dohre Naqaab Rakhte Hain; Humein Chirag Samajh Kar Bujha Na Paaoge, Hum Apne Ghar Mein Kayi Aaftaab Rakhte Hain; Bahut Se Log Ke Jo Harf-Aashna Bhi Nahi, Isee Mein Khush Hain Ke Teri Kitaab Rakhte Hain; Ye Maiqada Hai, Wo Masjid Hai, Wo Hai But-Khana, Kahin Bhi Jaao Farishte Hisaab Rakhte Hain; Humare Shahar Ke Manjar Na Dekh Payenge, Yahan Ke Log Aankhon Mein Khwab Rakhte Hain! |
Shakhon Se Toot Jayein Woh Patte Nahi Hain Hum; Aandhi Se Koi Keh De Ki Auqat Mein Rahe! |
Ye Sard Raatein Bhi Ban Kar Abhi Dhuaan Uad Jaayein, Woh Ik Lihaaf Main Odhu To Sardiyaan Uad Jaayein; Khudaa Ka Shukr Ki Mera Makaan Salamat Hai, Hain Utani Tez Hawaayein Ki Bastiyan Udd Jaayein; Zameen Se Ek Talluk Ne Baandh Rakha Hai, Badan Mein Khoon Nahi Ho To Haddiyaan Udd Jaayein; Bikhar-Bikhar Si Gayi Hai Kitaab Saanson Ki, Yeh Kaagzaat Khudaa Jaane Kab Kahan Udd Jaayein; Rahe Khyaal Ki Mazoob-e-Ishq Hain Hum Log, Agar Zameen Se Phoonke To Aasmaan Udd Jaayein; Hawaayein Baaz Kahan Aati Hain Sharaarat Se, Saron Pe Haath Na Rakhein To Pagdiyaan Udd Jaayein; Bahut Guroor Hai Dariyaa Ko Apne Hone Par, Jo Meri Pyaas Se Uljhe To Dhajjiyan Udd Jaayein! |
Mera Zameer Mera Aitbaar Bolta Hai, Meri Zubaan Se Parvardigaar Bolta Hai; Teri Zubaan Katarna Bahut Zaroori Hai, Tujhe Maraz Hai Ki Tu Baar-Baar Bolta Hai; Kuch Aur Kaam Use Yaad Hi Nahi Shayad, Magar Woh Jhooth Bahut Shaandaar Bolta Hai; Khuda Ne Uske Labon Par Mithaas Rakh Di Hai, Woh Bolta Hai Toh Jaise Sitaar Bolta Hai! |
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaye; Dushmanon Ki Bhi Raai Li Jaaye! |
Suraj, Sitaare, Chaand Mere Saath Mein Rahe; Jab Tak Tumhare Haath Mere Haath Mein Rahe; Shaakhaon Se Toot Jaaye Wo Patte Nahi Hain Hum; Aandhi Se Koi Keh De Ki Aukaat Mein Rahe! |