Dhoop Bahut Hai Mausam Jal-Thal Bhejo Na, Baba Mere Naam Ka Baadal Bhejo Na; Molsari Kee Shaakhon Par Bhi Diye Jalen, Shaakhon Ka Kesaraya Aanchal Bhejo Na; Nanhi Munni Sab Chehkarein Kahaan Gayi, Moron Ke Pairon Kee Payaal Bhejo Na; Basti Basti Dehshat Kisne Bo Di Hai, Galiyon Bazaaron Kee Hulchal Bhejo Na; Saare Mausam Ek Umas Ke Aadi Hain, Chhaanv Kee Khushbu, Dhoop Ka Sandal Bhejo Na; Main Basti Mein Aakhir Kis Se Baat Karun, Mere Jaisa Koi Paagal Bhejo Na! |
Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho; Ye Zindagi To Hai Rahmat Ise Saza Na Kaho; Na Jaane Kaun Si Mazburion Ka Qaidi Ho; Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho! |
Phool Jaise Makhmali Talawo Mein Phool Jaise Makhmali Talawo Mein Chhale Kar Diye; Gore Suraj Ne Hazaro Jism Kaale Kar Diye; Pyaas Kaise Bujhegi Humne Khud Hi Bhool Se; Maikade Kamzarf Logo Ke Hawale Kar Diye; Dekh Kar Tujh Ko Koi Manzar Na Dekha Umar Bhar; Ek Ujaale Ne Meri Aankhon Mein Jaale Kar Diye; Roshni Ke Devta Ko Pujta Tha Kal Talak; Aaj Ghar Kee Khidkiyon Ke Kaanch Kaale Kar Diye; Zindgi Ka Koi Bhi Tohfa Nahi Hai Mere Paas; Khoon Ke Aansu To Ghazlo Ke Hawale Kar Diye! |
Har Ek Chehre Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho; Ye Zindagi To Hai Rehmat Ise Saza Na Kaho; Na Jaane Kaun Si Mazburiyon Ka Qaidi Ho; Wo Saath Chhod Geya Hai To Bewafa Na Kaho; Tamaam Shehar Ne Nezon Pe Kyon Uchala Mujhe; Ye Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsa Na Kaho; Ye Aur Baat Ki Dushman Hua Hai Aaj Magar; Wo Mera Dost Tha Kal Tak Use Bura Na Kaho; Hamare Aib Humein Ungaliyon Pe Ginwao; Hamari Peeth Ke Peeche Humein Bura Na Kaho; Main Waqiyat Kee Zanjeer Ka Nahi Qayal; Mujhe Bhi Apne Gunahon Ka Silsila Na Kaho; Ye Shehar Wo Hai Jahan Rakshas Bhi Hai 'Rahat'; Har Ek Tarashe Hue But Ko Devta Na Kaho! |
Tere Vaade Kee Tere Vaade Kee Tere Pyaar Kee Mohtaj Nahi; Ye Kahani Kisi Kirdaar Kee Mohtaj Nahi; Khali Kashkol Pe Itarayi Hui Phirti Hai; Ye Fakeeri Kisi Dastar Kee Mohtaj Nahi; Log Honthon Pe Sajaye Hue Phirte Hain Mujhe; Meri Shohrat Kisi Akhbaar Kee Mohtaj Nahi; Ise Toofan Hi Kinare Se Laga Sakta Hai; Meri Kashti Kisi Patvaar Kee Mohtaj Nahi; Maine Mulkon Kee Tarah Logo Ke Dil Jeete Hain; Ye Hukumat Kisi Talwar Kee Mohtaj Nahi! |
Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate; Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate; Ab To Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai; Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate! |
Yeh Hadasa To Kisi Din Yeh Hadasa To Kisi Din Guzarne Wala Tha; Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha; Tere Salook Teri Aagahi Kee Umr Daraz; Mere Aziz Mera Zakham Bharne Wala Tha; Bulandiyon Ka Nasha Toot Kar Bikharne Laga; Mera Jahaz Zameen Par Utarne Wala Tha; Mera Naseeb Mere Haath Kaat Gaye Varna; Main Teri Maang Mein Sindoor Bharne Wala Tha; Mere Chirag Meri Shab Meri Munderein Hain; Main Kab Shareer Hawaon Se Darne Wala Tha! |
Shehar Mein Dhoond Raha Hun Shehar Mein Dhoond Raha Hun Ki Sahara De De; Koi Haatim Jo Mere Haath Mein Kasa De De; Pedh Sab Nange Faqiron Kee Tarah Sehme Hain; Kis Se Ummeed Ye Kee Jaye Ki Saya De De; Waqt Kee Sangjani Noch Gayi Sare Naqsh; Ab Woh Aaina Kahan Jo Mera Chehra De De; Dushmano Kee Bhi Koi Baat To Sach Ho Jaye; Aa Mere Dost Kisi Din Mujhe Dhokha De De; Main Bahut Jald Hi Ghar Laut Ke Aa Jaunga; Meri Tanhayi Yahan Kuch Dino Pehra De De; Jis Ne Katron Ko Bhi Mohtaz Kiya Mujh Ko; Wo Josh Mein Agar Aa Jaye To Dariya De De; Tum Ko 'Rahat' Kee Tabiyat Ka Nahi Andaza; Woh Bhikari Hai Magar Maango To Duniya De De! |
Andhere Charon Taraf Taraf Sayein Sayein Karne Lage; Chirag Haath Utha Kar Duayein Karne Lage; Taraqi Kar Gaye Bimariyon Ke Saudagar; Yeh Sab Mariz Hain Jo Ab Dawayein Karne Lage! |
Woh Chahta Tha Ki Kasa Khareed Le Mera; Main Uske Taj Kee Keemat Laga Ke Laut Aaya! Meaning: Kasa = Bowl, Goblet |