Wo Afsana Jise Anjam Tak Laana Na Ho Mumkin; Use Ik Khoobsurat Mod De Kar Chhodna Achha! |
Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi, Tujh Se Mil Kar Udaas Rehta Hun; Hazaar Barq Gire Laakh Andhiyan Uthen, Wo Phool Khil Ke Rahenge Jo Khilne Wale Hain! |
Dekha Hai Zindagi Ko Kuch Itne Qareeb Se; Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ajeeb Se! |
Kabhi Khud Pe Kabhi Halaat Pe Rona Aaya; Baat Nikli To Har Ek Baat Pe Rona Aaya! |
Is Tarah Zindagi Ne Diya Hai Hamara Saath; Jaise Koi Nibah Raha Ho Raqib Se! |
Maana Ki Is Zameen Ko Na Gulzar Kar Sake; Kuch Khaar Kam To Kar Gaye Guzre Jidhar Se Hum! |
Yeh Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye To Achha, Is Raat Ki Taqdeer Sanwar Jaye To Achha; Jis Tarah Se Thodi Si Tere Saath Kati Hai, Baaki Bhi Usi Tarah Guzar Jaye To Achha! |
Har Tarah Ke Jazbat Ka Elan Hain Aankhein; Shabnam Kabhi Shola Kabhi Toofan Hain Aankhein; Aankhon Se Badi Koi Tarazu Nahi Hoti; Tulta Hai Bashar Jis Mein Woh Meezan Hain Aankhein! |
Woh Afsana Jise Anjaam Tak Laana Na Ho Mumkin, Usse Ek Khoobsurat Mod Dekar Chhodna Achha! |
Yeh Husn Tera Yeh Ishq Mera, Rangeen To Hai Badnaam Sahi; Mujh Par To Kai Ilzaam Lage, Tujh Par Bhi Koi Ilzaam Sahi! |