Zakham De Kar Na Puch Dard Ki Shiddat; Dard To Phir Dard Hai, Kam Kya, Zeyaada Kya |
Na De Paaye Unko Zindgi Ke Neyaab Tohfe; Hum Toh Apne Dil Ko Hi Kohinoor Samajh Bathe The! |
Koi Shiddat Na De Mere Wajood Ko; Hum Toh Khaak Hone Ke Liye Paida Hue The! |
Jis Ki Aaghosh Mein Hum Roz Mila Karte The; Ab Wahi Sham Har Ek Sham Sada Deti Hai! |
Ho Sakti Hai Mohabbat Zindagi Mein Dobara Bhi; Bas Haunsla Ho Ek Dafaa Phir Se Barbaad Hone Ka! |
Bula Raha Hai Kaun MujhKo Uss Taraf; Mere Liye Bhi Kya Koi Udaas Beqaraar Hai! |
Aaine Ajj Saaf Hue Mudaat Ke Baad; Inn Pe Galatfehmiyon Ki Buhut Dhool Jami Thi! |
Dard Sehne Ki Itni Adat Ho Chuki Hai Ki, Ab Dard Na Mile To Bahut Dard Hota Hai! |
Mujhe Manzoor Hai Ab Sab Se Alag Rehna; Tanha Rehna, Chup Rehna, Sab Sehna! |
Dil-e-Gumrah Ko Kaash Yeh Maloom Hota; Pyaar Tab Tak Haseen Hai Jab Tak Nahi Hota! |