Ae Khuda Mujhe Woh Mohabbat De; Jo Kabhi Khlaud Tak Ruswa Na Kare! * Khlaud = Eternity |
Jab Ghir Jao Dukhon Ke Sailaab Se; To Doob Jao Saaki Ki Sharab Se! |
Mohabbat Aati Hai Sard Hawaaon Ki tarhan;
Aur Jaati Hai Garam Hawaaon Ki Tarhan! |
Hum Bhi Mohabbat Ke Buhut Bade Jinn Nikle; Hamari Jaan Unke Nanhe Se Dil Mein Qaid Hai! |
Na De Paaye Unko Zindgi Ke Neyaab Tohfe; Hum Toh Apne Dil Ko Hi Kohinoor Samajh Bathe The! |
Koi Shiddat Na De Mere Wajood Ko; Hum Toh Khaak Hone Ke Liye Paida Hue The! |
Woh Aaye Hamare Dil Mein Husn Ki Pari Banke; Ab Rooh Bhi Inne Jaane Ki Izaazat Nahi Deti! |
Aa Jao Tumhe Ishq Ka Falsafa Sikha Dein; Ek Dil Harne Ki Tum Kasam Khao Aur Ek Hum! |
Yeh Jaam Hi Ab Mera Ishq Aur Junoon Hai; Yeh Nashe Ki Aadh Mein Dhokha Nahi Dete! |
Aaine Ajj Saaf Hue Mudaat Ke Baad; Inn Pe Galatfehmiyon Ki Buhut Dhool Jami Thi! |