Koi Umeed Bar Nahi Aati, Koi Surat Nazar Nahi Aati; Maut Ka Ek Din Muayyan Hai, Neend Kyon Raat Bhar Nahi Aati! *Muayyan:Definite |
Marte Hain Aarzoo Mein Marne Ki; Maut Aati Hai Par Nahi Aati! |
Jaam-e-Jamshed Ka Aalam Hai Mere Seene Mein, Baat Paida Hi Nahi Ye Kisi Aaine Mein; Aankh Mein Shakal Teri Noor Tera Seene Mein, Aks Aaine Ka Padta Raha Aaine Mein! |
Umar Bhar Milne Nahi Deti Hain Ab To Ranjishein; Waqt Hum Se Rooth Jane Ki Ada Tak Le Gaya |
Lagta Nahi Hai Dil Mera Ujde Dayar Mein, Kis Ki Bani Hai Alam-e-Na-Paedar Mein; In Hasraton Se Keh Do Kahin Aur Ja Basen, Itni Jagah Kahan Hai Dil-e-Dagh-Dar Mein! |
Deewana Banana Hai To Deewana Bana De, Varna Kahin Taqdeer Tamasha Na Bana De; Ai Dekhne Walo Mujhe Hans Hans Ke Na Dekho, Tum Ko Bhi Mohabbat Kahin Mujh Sa Na Bana De! |
Khoon Mera Jis Se Hua Hai Khanjar-e-Ahbab Hai, Ye Haqeeqat Hai Magar Lagta Hai Jaise Khwab Hai; Is Liye Mujh Sa Numayan Ho Geya Be-Bal-o-Par, Jis Jagah Main Hun Vahan Har Aadmi Surkhab Hai! *Be-Bal-o-Par:Helpless |
Hum Hain Sookhe Hue Talaab Pe Baithe Hue Hans; Jo Taalluq Ko Nibhate Hue Mar Jaate Hain! *Taalluq: Relation |
Tamam Raat Nahaya Tha Shehar Baarish Mein, Wo Rang Utar Hi Gaye Jo Utarne Wale The! |
Jahan-Zad Kaise Hazaron Baras Baad, Ik Shehar-e-Madfun Ki Har Gali Mein; Mere Jaam-o-Meena-o-Gul-Dan Ke Reze Mile Hain, Ki Jaise Wo Is Shehar-e-Barbad Ka Hafiza Hon! |