-
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibAaj Van Teg-o-Kafan Bandhe Hue Jata Hun Main;
Uzr Mera Qatal Karne Mein Wo Ab Lavenge Kya!
*Teg-o-Kafan: Sword and Shroud -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibHazarat-e-Naseh Gar Aayen Didah-o-Dil Farsh-e-Raah;
Koi Mujh Ko Ye To Samjha Do Ki Samjhavenge Kya! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibBe-Niyazi Hadd Se Guzri Banda-Parvar Kab Talak;
Hum Kahenge Hal-e-Dil Aur Aap Farmavenge Kya!
*Be-Niyazi: Unconcern
*Banda-Parvar: Powerful man -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibDost Gham Khwari Mein Mere Se Farmavenge Kya;
Zakhm Ke Bharne Talak Nakhun Na Badh Javenge Kya! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibYe Fitna Aadmi Ki Khana-Veerani Ko Kya Kam Hai;
Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibKoi Umeed Bar Nahi Aati,
Koi Surat Nazar Nahi Aati;
Maut Ka Ek Din Muayyan Hai,
Neend Kyon Raat Bhar Nahi Aati!
*Muayyan:Definite -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibMarte Hain Aarzoo Mein Marne Ki;
Maut Aati Hai Par Nahi Aati! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibHum Ko Maalum Hai Jannat Ki Haqeeqat Lekin;
Dil Ke Khush Rakhne Ko 'Ghalib' Ye Khayal Achcha Hai! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibIshq Par Zor Nahi Hai Ye Wo Aatish 'Ghalib';
Ki Lagaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bane! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibHar Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ki Tu Kya Hai,
Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-e-Guftgu Kya Hai;
Na Sholay Mein Yeh Karishma, Na Barq Mein Ye Ada,
Koi Batao Ki Wo Shokh Tund Khu Kya Hai!