Dard Ho Dil Mein To Dawa Kijiye, Dil Hi Jab Dard Ho To Kya Kijye; Hum Ko Fariyad Karni Aati Hai, Aap Sunte Nahi Tu Kya Kijye! |
Ye Na Thi Hamari Qismat Ki Visal-e-Yaar Hota, Agar Aur Jeete Rehte Yahi Intezar Hota; Tere Vaade Par Jiye Hum To Yeh Jaan Jhoot Jana, Ki Khushi Se Mar Na Jate Agar Aitbar Hota! |
Hum Ko Unse Hai Wafa Ki Umeed; Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai! |
Ab Khushi Deke Azma Le Khuda; In Gamon Se To Main Mra Nahi! |
Meri Qismat Mein Gham Agar Itna Tha; Dil Bhi Ya-Rab Kai Diye Hote! |
Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad; Qahar Hai Gar Karo Na Mujhko Pyaar! |
Mat Puch Ki Kya Haal Hai Mera Tere Peeche; Tu Dekh Ki Kya Rang Hai Tera Mere Aage! |
Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai Shab-e-Gham Buri Bala Hai; Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota! |
Hathon Ki Lakeeron Pe Mat Ja Ai Ghalib; Naseeb Unke Bhi Hote Hain Jinke Haath Nahi Hote! |
Is Sadgi Pe Kaun Na Mar Jaaye Ai Khuda; Ladte Hain Aur Haath Mein Talwar Bhi Nahi! |