Sukoon Apne Dil Ka Maine Kho Diya, Khud Ko Tanhai Ke Samundar Mein Dubo Diya; Jo Tha Mere Muskurane Ki Wajah, Aaj Uski Kami Ne Meri Palkon Ko Bhigo Diya! |
Main Zakhm-Zakhm Hun Ja Kar Miloon Kis Se; Namak Se Tar Kapde Yahan Sab Pehne Hue Hain! |
Milne Aata Hai Roz Gham Mujh Se; Uss Ne Dekha Hua Hai Ghar Mera! |
Dost Dushman Jitne The Sab Hain Aazmaye Maine; Har Ik - Ik Shakhs Se Dhokhe Hain Khaye Maine! |
Ye Aag Ke Ghar Mein Rehne Ka Shaukeen Hai Bahut; Ishq Ko Dil Ki Basti Mein Panah Mat Dena! |
Main Dard Ke Pahlu Mein Hi Pala Bada Hun; Tum Zakhm Do Bhi To Dard Naa Hoga! |
Teri Dillagi Ke Fasane Bahut Mashhoor Hain Mana, Lekin Ahl-e-Gham Pe Jo Guzari Tumne Na Jana! |
Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi Hota; Mujhe Chand Logon Ne Yahi Sikhaya Hai! |
Chahta Toh Main Bhi Hun Ki Mila-Jhula Karun Main Sabse; Magar Mujh Mein Ik Shakhs Tanha Rehne Ki Zidd Karta Hai! |
Aankh Ne Ashq Bahaye Bhi To Sookh Jayenge; Dil Ki Basti Mein Gham Ki Dhoop Hai Bahut! |