Teri Dillagi Ke Fasane Bahut Mashhoor Hain Mana; Lekin Ahl-e-Gham Pe Jo Guzri Tumne Na Jana! |
Dil Se Toh Kai Mausam Guzar Jate Hain; Aankhon Se Magar Barsaat Nahi Jati! |
Mera Haal-e-Dil Phir Mere Dil Mein Hi Reh Geya; Ik Kagaz Pe Likha Tha Barsaat Mein Bheeg Geya! |
Roz Rote Hue Kehti Hai Zindagi Mujh Se; Sirf Ek Shakhs Ki Khaatir Mujhe Barbaad Na Kar! |
Dil Pe Tanhai Ke Siyah Abr Chhane Lage Hain; Tere Gham Ki Lagta Hai Barsat Hone Wali Hai! |
Tum Par Beete Gi Toh Tum Bhi Jaan Jaoge Mohsin; Koi Nazar Andaz Kare Toh Kitna Dard Hota Hai! |
Ye Dhuaan Kam Ho Toh Pehchaan Ho Mumkin Shayad; Yun Toh Woh Jalta Hua Apna Makaan Lagta Hai! |
Hoti Hai Lakh Ghamon Ki Dawa Neend Bhi Magar, Hote Hain Aise Gham Bhi Jo Sone Nahi Dete! |
Ek Kahani Si Dil Par Likhi Reh Gayi, Wo Nazar Jo Mujhe Dekhti Reh Gayi; Log Aakar Bazaar Mein Bik Bhi Gaye, Meri Keemat Lagi Ki Lagi Reh Gayi! |
Hum Apni Rooh Tere Jism Mein He Chodd Aaye Faraz; Tujhe Gale Se Lagana Toh Ek Bahana Tha! |