Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain, So Us Ke Shehar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain; Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab-Haalon Se, So Apne Aap Ko Barbad Kar Ke Dekhte Hain! |
Kis Kis Ko Batayenge Judai Ka Sabab Hum; Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane Ke Liye Aa! |
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa, Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa; Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh, Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa! |
Is Qadar Musalsal Thi Shiddatein Judai Ki; Aaj Pehli Baar Us Se Maine Bewafai Ki! |
Bhari Bahar Mein Ek Shaakh Par Khila Hai Gulab; Ki Jaise Tu Ne Hatheli Pe Gaal Rakha Hai! |
Hua Hai Tujh Se Bichhadne Ke Baad Ye Maalum; Ki Tu Nahi Tha Tere Saath Ek Duniya Thi!d |
Is Zindagi Mein Itni Faraghat Kise Naseeb; Itna Na Yaad Aa Ki Tujhe Bhool Jayein Hum! * Faraghat - Cessation from labour, Interval, Time for rest, Comfort |
Sakiya Ek Nazar Jaam Se Pehle Pehle; Hum Ko Jana Hai Kahin Sham Se Pehle Pehle! |
Us Ko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua, Ab Kya Kahein Yeh Qissa Purana Bahut Hua; Hum Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda, Itne Se Waqiye Ka Fasana Bahut Hua! |
Ab Ke Hum Bichhade Toh Shayad Kabhi Khwabon Mein Milen; Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitabon Mein Milen! |