Ab Ek Pal Ka Tughafil Bhi Seh Nahi Sakte; Hum Ahal-e-Dil Kabhi Aadi The Intezar Ke Bhi! *Tughafil: Laziness *Ahal-e-Dil: People of generous |
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kyun Bujh Geya Aawargi, Is Dasht Mein Ik Shehar Tha, Wo Kiya Hua Aawargi; Kal Shab Mujhe Be-Shakal Ki Aawaz Ne Chonka Diya, Maine Kaha Tu Kaun Hai Usne Kaha Aawargi! |
Yun Dekhte Rehna Use Achha Nahi 'Mohsin'; Wo Kaanch Ka Paikar Hai Toh Patthar Teri Aankhen! |
Ab Ye Sochun To Bhanwar Zehn Mein Pad Jaate Hain; Kaise Chehre Hain Jo Milte Hi Bichhad Jaate Hain! |
Teri Kam-Goyi Ke Charche Hain Zamane Bhar Mein 'Mohsin'; Kis Se Seekha Hai Yun Aankhon Se Baaton Ki Wazahat Karna! |
Apne Haathon Ki Lakeerain Na Badal Paya `Mohsin`; Khush Naseebo Se Bahut Hath Milay Hum Ne! |
Ik Baar Aur Dekh Kar Azad Kar De Mujhe Mohsin; Ki Main Aaj Bhi Teri Pehli Nazar Ki Qaid Main Hun! |
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaye Nahi Mitta; Bheegi Hoyi Ik Shaam Ka Manzar Teri Aankhein! |
Tum Par Beete Gi Toh Tum Bhi Jaan Jaoge Mohsin; Koi Nazar Andaz Kare Toh Kitna Dard Hota Hai! |
Hum Toh Hanste Hain Doosaron Ko Hansane Ki Khatir Mohsin; Varna Dil Pe Zakhm Itne Hain Ki Roya Bhi Nahi Jata! |